I keep my tears inside some times i want to hide I always said no one cared if i did I was right now i am so lonely now no one is here just when i thought i was happy i was sad just when i though i was sad i was just scared i dont want to live like this i want to let it out i want to just scream i wish i could just leave leave the world leave my fears leave the past behind i wish i could just grow up to be to be a wonderful person to live my life till the end to have a friend forever to never ever have to hold my tears in i wish i was free to just cry i wish i was just free to let it all out but i'm not so i keep my tears inside.
I tried to tell you I love you but the words were hard to find. I'm always thinking about you you're the only one on my mind. Oh why do I act so shy forever hiding my face I should learn to laugh and not to cry put your self in my place There were times I tried to kiss you but something told me no. You wanted me to hold you but I kept letting you go. I'm afraid that I am not the guy you've searched for all these years. I will kindly leave now don't you cry try to hold back your tears.F It's been so long I haven't seen you for quite awhile When I think of how we me met it only brings back your smile. I remember when I held you then and told you we'd never part I loved you then I love you now and I'll hold you in my heart.
barish ka mausam hae, roh ki fizaoon main, ghum zada hawaoon main, bay sabab udasi hae, is ajeeb mausam main, bay qarar ratoon ki, bay shumar batoon main, un ginat afsanay hain, rooratain jo bohat khamoshi say, dil pay sehtay phirtay hain, aur ye amr e majboori hae, sub say kehtay phirtay hain, aaj mausam bohat acha hae, aaj hum bohat khush hain.
Roth jane ki aadaten na gayen, Dil jalane ki aadaten na gayen, Zakham khakar bhi tujh say naam tera, Gungunany ki aadaten na gayen, Piyar sy jo bhi mil gaya, Dukh sunany ki aadaten na gayen, Do dilon ko ujaar ky hansna, Yeh zamane ki aadaten na gayen, Beesyun baar aazma kar hum ko, Aazimany ki aadaten na gayen, Raat ky pichle pehr aye Faraz, Ghar ko aane ki aadaten na gayen.
wo jazboon ki tijarat thi, ye dil kuch aur samjha tha, usay hansnay ki adat thi, yeh dil kuch aur samjha tha, mujhe us nay kaha aao, nai dunya basatay hain, usse soji shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha, meray kandhay per sir rakh kar, kaheen kho gaya tha wo, ye ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha, mujhe wo daikh kar aksar, nigahain phair laita tha, ye darparda hiqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha.
dost ban ban k milay mujhko mitanay walay mainay daikhey hain kai rang badalnay walay tum nay chup reh k situm aur bhi dhaya mujh per tum say achay hain meray hal pay hansnay walay main tu ikhlaq k hathoon hi bika karta hoon aut hoongay teray bazar main biknay walay akhri bar salam-e-dil e muztarib lay lo phir na lotain gay shab e hijr k ronay walay dost ban ban k milay.......
karoon na yaad magar kis tarah bholaon usay ghazal bahana karoon aur gungunaoon usay wo khar khar hae shakh e gulab ki manind main zakhm zakhm hoon phir bhi galay lagaon usay yeh log tazkiray kartay hain apnay logoon k main kis tarah baat karoon aur kahan say laon usay jo hamsafar sar e manzil bichar raha hae Faraz ajab nahi k agar yaad bhi na aaon usay karoon main yaad magar...........
MERI ANKHON PA MARTA THA, MERI BAATON PA HANSTA THA, NAJANAY SHAKHS THA KAISA, MUJHE KHONEY SE DARTA THA, MUJHE WO JAB BHI MILTA THA, YEHI KEHTA THA, SUNO.......... AGAR MAIN BHOOL JAON TO, AGAR MAIN ROOTH JAON TO, KABHI WAPIS NA AOON TO, BHULA PAO GE YE SAB KCCH, YOUHI HANSTI RAHO GI KIA. YOUhi SAJTI RAHO GI KIA. YEHI BAATIEN HAIN BUS US KI, YEHI YAADIEN HAIN BUS US KI, MUJHE BAS HAI PATA ITNA, MUJHE WO PYAR KARTA THA. MUJHE KHONAY SA DARTA THA...........
us ne kaha,,tum main pehli si bat nahi main ne kaha,,zindagi main tera sath nahi us ne kaha,,ab bi kisi ankh main dob jate ho main ne kaha,,main ne kaha ab kisi ankh main wo gehrai nahi us ne kaha,,ab bi phol kharidte ho main ne kaha,,tere bad un main khushboo hi nahi us ne kaha,,nila asman dekh kar kuch yad aaya main ne kaha,,teri baton k siwa kuch yad nahi us ne kaha,,ye udasi kiuon ha main ne kaha,,tere gham k siwa kuch bi nahi us ne kaha,,mere bad kisi se muhabat ki main ne kaha,,tere bad ye lafz meri zindgi main shamil hi nahi us ne kaha,,zindagi kya ha main ne kaha,,tere siwa kuch nahi us ne kaha neend tumhain aajati ha main ne kaha,,teri bahon ka sahara nahi us ne kaha kiuon tot kar chaha muje main ne kaha,,main insan hon pathar tu nahi us ne kaha,,tumhara ishq tu sehra tha main ne kaha,,muje ab piyas hi nahi us ne kaha,,kya main bewafa hon main ne kaha,,muje ab wafa ki talash hi nahi us ne kaha,,bhol jao muj ko main ne kaha,,tum hakikat ho khab tu nahi
Wo jo Shehr e dil tha ujar gaya Wo jo khab tha bikhar gaya kabhi mausamoon ki nazar lagi kabhi wahmoon nay dara diya kabhi manziloon k sarab nay hamain rastoon main dagha diya kabhi zindagi ki kitab say hamain jis nay chaha mita diya bas ishi liye.................. wo jo ja raha tha daur tak usse daikhtay rahe magar nahi di sada.. usse rokte bhi to kis liye?
hatheliyun pay rakhe huay chiraghoon ko khud bujhaya hua tha pehle, uddas mausam main bay basi ka ye sal kitna ajeeb sa tha, safar akailay he kat lo gay ye maine pocha to ro para wo, sawal kitna ajeeb sa tha, jawab kitna ajeeb sa tha.
kabhi maum ban k pighal gaya kabhi girte girte sambhal gaya wo ban k lamha guraiz ka mere pass say nikal gaya usse rokta bhi to kis tarha k wo shakhs itna ajeeb tha kabhi tarap utha meri aah say kabhi ashk say na pighal saka sar-e-rah mila wo agar kabhi to nazar chura k guzar gaya wo utar gaya meri aankh say mere dil say kiyun na utar saka wo chala gaya jahaan chor kar main wahan say phir na palat saka wo sambhal gaya Yawar magar main bikhar k phir na simat saka
kabhi tum nay ye bhi socha k tumhare dil-e-garifta tumhain kitna chahtay hain? tumhain zindagi say barh kar jo aziz hum nay jana so, koi sabab to ho ga kabhi tum nay ye bhi socha? tumhain kiya khabar k hum ne tumhain soonp di hain ratain tumhain daan ki hain aankhain tumhain roz-o-shab k dukh main kabhi bholna bhi chahain to kabhi na bhool paain k ye ahd-e-zindagi hae jissay torna bhi chahain to kabhi na tor paain.
mujh say ziada agar koi tumhain chahe to mere hathoon say apna hath chora laina mere sajdoon say apna sir utha laina tor daina piyar ki zangirain mita daina apne hath say lakeerain meri ankhoon say apne khab khaboon say meri tasweer mita daina magar shart ye hae k........ mujh say ziada koi tumhain chahe to........
mujhe bhool jana mere bus main shayad na ho laut aana na likhna mera naam dil ki zameen per ghamoon ka tasawar na lana jabeen per samajhna yehi k main bewafa hoon ya phir zindagi k dukhoon main ghira hoon zameen pay lakeerain banate na rehna mera naam likh k mitatay na rehna jawani ko tum rog mat ye lagana mere bus main shayad na ho laut aana mujhe bhool jana mujhe bhool jana.
pyar k deep jalane walay kuch kuch pagal hote hain apni jan say janay walay kuch kuch pagal hote hain hijr k gehre zakhm milay to mujh ko ye ehsas hua pagal ko samjhane walay kuch kuch pagal hote hain jan say piyare logoon say bhi kuch kuch parda lazim hae sari baat batane walay kuch kuch pagal hote hain us k ishq main bheeg k Wasi hum ko ye ehsas hua dil ki baat main aanay walay kuch kuch "pagal" hote hain.
Suna ho ga bohat tum ne kaheen ankhoon ki rim jhim ka kaheen palkoon ki shabnam ka parha ho ga bohat tum ne kaheen lahjay ki barish ka kaheen saghar k aanso ka... magar tum ne kabhi ae dost kaheen daikhe? kaheen parhe? kisi tahreer k aanso? mujhe kisi ki judai ne.. ye meraj bakhshi hae k main jo lafz likhta hoon wo sare lafz rote hain k main jo harf bunta hoon wo sare batain karte hain mere sang is judai main mere ilfaz marte hain.
ye dard mit gaya to phir! ye zakhm sil gaya to phir! bichar k sochta hoon main wo phir say mil gaya to phir main titlioon k shehr main rahoon to mujh ko fiqr hae wo phool jo khila nahi wo phool khil gaya to phir tumhain bhi kuch nahi mila mujhe bhi kuch nahi mila tamam umr k liye ye dard mil gaya to phir main is liye to aaj tak sawal bhi na kar saka agar mere sawal ka jawab mil gaya to phir ye janta hoon k laut kar mere he dil main aao gay magar ye soch lo zara badal ye Dil gaya to phir?
muhabbat k musafir ko koi rsta nahi daita zameen waqif nahi banti falaq saya nahi daita udasi jis k dil main ho ussi ki neend urti hae kisi ko apni aakhoon say koi sapna nahi daita uthana khud he parta hae thaka tota badan apna k jab tak sans chalti hae koi kandha nahi daita.
Laghzishoon say mavara to bhi nahi main bhi nahi donoon insaan hain Khuda to bhi nahi main bhi nahi to mujhe aur main tujhe ilzam daite hain magar apne ander jhankta to bhi nahi main bhi nahi maslhat nay kar diya donoon main peda ikhtilaf warna fitrat ka bura to bhi nahi main bhi nahi mukhtalif simtoon main donoon ka safar jari raha pal bhar ko thehra to bhi nahi main bhi nahi chahte donoon bohat ik dosre ko hain magar ye haqiqat manta to bhi nahi main bhi nahi
ye jo zeest ka safar hae ye jo rasta hae mera tum agar sath na dogay to ye kis tarha katte ga? meri soch ki hadoon tak ye gumaan bhi kaise aae koi pal bina tumhare bhala kaise beet jae mere pass kab nahi ho meri yaad k safar main meri shab ki roshni main meri her dua ka mehvar bas aik arzo tumhari is arzo say aagay koi rasta nahi hae tumhain kis qadar hae chaha ye tumhain pata nahi hae.....
abhi wo dard baki hae agarche waqt marham hae magar kuch waqt lagta hae kisi ko bhool janay main dobara dil basanay main main kaisay nai ulfat main apni zaat ko gum kar doon kay mare jism-o-wajdan main abhi wo fard baki hae abhi us shakhs ki mujh per nigah-e-sard baki hae abhi to ishq k rastoon ki mujh per gard baki hae... abhi wo dard baki hae........
main udaas rsta hoon sham ka mujhe ahatoon ki talash hae ye sitare hain sub bojhe bojhe mujhe jugnuon ki talash hae her khushi hae mujh say khafa khafa mujhe zindagi ki talash hae meri piyas main wo talab nahi mujhe tishnagi ki talash hae ik hajoom sa hae rawaan dawaan mujhe dostoon ki talash hae meri zindagi hae bus ik rasta mujhe manziloon ki talash hae na janay kiya hae jo kho gaya mujhe shayed apni talash hae.
Phir pyar kisay tum kehte ho? khamosh zubaan k lafzoon main kuch poshida si batain hain in poshida si batoon main kuch chahat ki barsatain hain in batoon ko hum muddat say seenay main chupa k bethe hain kuch paye bina kuch kho daina ye pyar main hum nay sekha hae soraj main chand sitaroon main her shay main us ko daikha hae dharkan main bhi naghma ban kar saghar ki trha wo behta hae ye pyar nahi to tum hi kaho phir pyar kisse tum kehte ho....?
ajnabi si rahoon ka ajnabi musafir ik mujh say poch baitha hae rasta bata do gay ajnabi si rahoon k ajnabi musafir sun rasta koi bhi ho wasta koi bhi ho manzilain nahi milteen manzilain to dhoka hain manzilain jo mil jain justojo nahi rehti zindagi ko jenay ki arzo nahi rehti....
mere kahboon k gulshan main khizain raks krti hain mere hontoon ki larzish main wafain raks krti hain mujhe wo lakh tarpae magar us shakhs ki khatir mere dil k andhairoon main duain raks karti hain usse kehna k laut aae sulagti sham say pehle kisi ki khushk aankhoon main sadain raks krti hain.
agar hum daur ho jaein kaheen dunya main kho jaein batao kiya karo gay tum humain dhodo gay ya phir bhool jao gay humain awaz do gay ya kisi guzri kahani main hamara naam likh do gay chalo aisa krna tum bhi badal jana humain tum bhool he jana magar itni guzarish hae hamara zikr jab aae zara sa yaad kar laina hamara naam lay laina.....
kuch khab hain jin ko likhna hae tabeer ki sorat daini hae kuch log hain ujre dil walay jinhain apni mohabat daini hae kuch phool hain jin ko chunna hae aur haar ki sorat daini hae kuch neendain apni baki hain jinhain bantna hae kuch logoon main aae um-e-rawan ahista chal abhi khasa qarz chukana hae.
apni yadain apni batain lay kar jana bhool gaya jane wala jaldi main tha mil kar jana bhool gaya mur mur kar daikha tha us ne jate jate rste main jaise us nay kehna tha kuch jo wo kehna bhool gaya waqt-e-rukhsat meri aankhain ponch raha tha aanchal se usko gham tha itna zyada khud wo rona bhool gaya waqt k behte dhare main kaisi hum nay ghaflat ki thi main bhi kehna bhool gaya tha wo bhi rukna bhool gaya...
ik taza hiqayat hae sun lo to inayat hae ik shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum nay ik shakhs ko samjha tha pholon ki tarha hum nay ik shakhs ko chaha tha apnoon ki tarha hum nay wo shakhs qayamat tha kiya us ki karain batain din us k liye paida theen us ki subhi ratain km milna kisi say tha am say theem mulaqatain kuch tum say wo milta tha batoon main shabahat main haan tum hi sa lagta tha shokhi main shararat main lgta bhi tmhi sa tha dastory mohabbat main wo shakhs hamain ik din apnoon ki tarha bhoola taroon ki tarha dooba pholon ki tarha tota phir hath na aaya wo hm nay to bohat dhonda tm kis liye chonkay kb zikr tmhara hae kb tm say takaza hae kb tm say shikayat hae ik taza hiqayat hae sun lo to inayat hae.
Bara dushwar hota hae zara sa faisla kerna K jeewan ki khani ko Baiyan-e-bezubani ko Kahan se yad rakhna hae Kahan se bhol jana hae Kise kitna batana hae kis say kitna chupana hae Kahan ro ro k hansna hae Kahan hans hans k rona hae Kissay awaz daini hae Kis ko bhool jana hae Kahan rasta badlna hae Kahan se lot ana hae Bara dushwar hota hae.........!
sunno aisa nahi kertay safar tanha nahi kertay jinhay shafaf rakhna ho unhay maila nahi kertay bohat totay huay ghar per bohat socha nahi kertay chalo tum raaz ho apna tumhay afshan nahi kertay
FARZ KARO HUM AHL-E-WAFA HOON FARZ KARO DEWANAY HOON FARZ KARO YEH DONO BATEIN JHUTI HOON AFSANAY HOON FARZ KARO YEH GE KI BEPTA GE SAY JORE SUNNAI HOO FARZ KARO ABHI AUR HO ADHI ADHI HUM NAY CHUPPAI HOO FARZ KARO TUMHAY KHUSH KERNAY K DHONDAY HUM NAY BAHANAY HOON FARZ KARO YEH NAIN TUMHARAY SUCH MUCH KAY MAIKHANAY HOON FARZ KARO YEH ROOG HO JHOTA JHOTI PREET HAMARI HOO FARZ KARO IS PREET KAY ROOG MAY SANS BHI HUM PER BHARI HOO FARZ KARO YEH JOG BAJOG HUM NAY DHONG RACHAYA HOO FARZ KARO BUS YEHI HAQEQAT BAQI SUB KUCH MAYA HOO
Katthin Hae Zindagi kitni.. safar dushwaar kitna hae.. Kabhi paon nahi chalte ... Kabhi rasta nahi milta... Hamara sath dy paae... koi aisa nahi milta... Faqt Aise guzaron to... ye roz-O-shab nahi kattay.. ye kattay thay kabhi pehlay... magar haan ab nahi kattay.. magar phir bhi Meray Malik... koi shikwa nahi tujh say.. main jaan par khel sakta hon.. main har dukh jhel sakta hOn.. Aagr to aaj he karday Mohabbat Humsafar Meri Mohabbat Hum Safar Meri
Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha Kashti K Musafir Nay Samandar Nahin Dekha Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Parain Ge Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pay Nazar Hae Ankhoon Ne Kabhi Meel Ka Pather Nahin Dekha Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain? Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminain Jo Choor Dia Phir Usse Mur Kar Nahin Dekha Khat Aisa Likha Hai K Naginay Se Jarre Hain In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha Pather Mujhay Kehta Hai Mera Chahne Wala Main Moum Hoon Usne Mujhe Cho Kar Nahin Dekha Wo Mere Masail Ko Samajh Hi Nahin Sakta Jis Nain Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha
Mujhe ghar jane do Apne ahsas k sub rang utar jane do meri umeed mere khab bikhar jane do apne angan main charaghon ko jalao na abhi mere angan main siyah raat utar jane do bari mushkil say mila hae mujhe mere ghar ka pata rasto ab na uljhao mujhe ghar jane do mujhe ghar jane do...
Koi Tum say poochay kaun hoon main? tum keh daina koi khas nahi aik dost hae kacha pakka sa aik jhoot hae adha sacha sa jazbaat ko chupayee ik parda bas aik bahana acha sa jeevan ka aisa sathi hae jo daur na ho k pass nahi koi tum say pochay kaun hoon main tum keh daina koi khas nahi......
Soch kar chuni hae apne liye akhri aaram gah hum thay matti aur hamain matti ka ghar acha laga manziloon ki baat choro kis nay paeen manzilain ik safar acha laga ik hum safar acha laga.
Hum nay dono ko daikha dono hi bedard kathor amber wala dharti wala pehla chand aur doja chand chand kisi ka ho nahi sakta chand kisi ka hota hae? chand ki khatir zid nahi karte mere achay Insha Chand.
Yehi arzo rahi umr bhar k mohabatain mere sath hoon kabhi aisa ishq kiya nahi k nadamatain mere sath hoon kabhi aisa lafz likha nahi k ho sharamsar qalam koi aisa jurm nahi kiya k wazahatain mere sath hoon faqat aik shakhs ki arzo main guzar rahi hae ye zindagi ye talab nahi k tamam shehar ki chahatain mere sath hoon.
tamam araam hashr o nashr say begana ho jae bara hoshiar hae insaan agar deewana ho jae. -----------------------------------------------
Raaste ek safar chahte thay musafir hamsafar chahtay thay jaisay chahti hae chandni chand ko hum bhi is qadar kissi ko chahte thay. -----------------------------------------------
Azal say rach gai hae sirbulandi apni fitrat main hamain bus totna aata hae jhuk jana nahi aata. -----------------------------------------------
tum bhi khafa ho log bhi barham hain dosto ab ho chala yaqeen k buray hum hain dosto. -----------------------------------------------
Ajeeb shahkhs tha kaisa mizaj rakhata tha, sath reh kar bhi ikhtilaf rakhta tha, main kiyun na dad doon us k fun ki, meray her sawal ka pehlay he jawab rakhta tha. -----------------------------------------------
Ana ki jang main hm jeet to gye lekin phir us k baad bohat dair tak nidhal rahay. -----------------------------------------------
khuabon ki tarha tha na khayalon ki tarha tha wo ilm-e-riazi k sawalon ki tarhan tha uljha hua aise k sulajh he nahi paya suljha hua aise k misalon ki tarha tha
may kyun na turk-e-talluk ki ibtayda kerta wo dosre dais ka basi tha kya wafa kerta -----------------------------------------------
to katib-e taqdir say israr to karta shayed wo tere hath pay likh daita mera naam. -----------------------------------------------
Main apni sansoon ki fursatoon main tujhe manaoon to maan jana agar kisi din main apne ansu jo lay k aaon to maan jana to agar khush nahi hae meri baka per tu itna jaan ja teri khushi k liye jo sooli pay muskuraoon to maan jana tu bad gumaan hay meri wafa per to sirf ik bar azma lay jo har jaoon to laut jana jo jeet jaoon to maan jana.. -----------------------------------------------
Qurb na wafa k hotay hain saray jhagray ana k hotay hain wo hamara hae is tarha say Faiz jaisay banday khuda k hotay hain baat niyat ki hey sirf warna waqt saray dua k hotay hain bhool jatay hain mat bura kehna log putlay khata k hotay hain wo bazahir jo kuch nahi lagtay un say rishtay bla k hotay hain. -----------------------------------------------
meray bay rabt khayalat main kya rakha hae main to pagal hoon meri baat main kiya rakha hae baandh rakha hae kisi ki yaad nay mazi say mujhe warna guzray huay lamhat main kiya rakha hae wo mila tha to ye ehsas hua tha mujh ko wo alag ho to meri zaat main kiya rakha hae -----------------------------------------------
ho raat akaili pichlay peher aur chand gagan main ajaye tum chand ki manind tanha ho ye baat tumhain tarpa jae kuch khab saja k palkoon pay tum chand say batain kar laina hum yaad tumheen ko kartay hain tum yaad hameen ko kar laina kuch baat na ho jab aisay he num aakh tumhari ho jae tum baat kaheen per kartay ho dil aur kaheen per kho jae jazbaat k aisay alam main muskaan laboon per bhar laina hum yaad tumheen ko kartay hain tum yaad humain bhi kar laina.
Ek manoos si awaz pay chalta hoon magar dil ye kehta hay thehr phir koi dhoka hoga waqt qatil hay to rehnay do meray sath issay yehi qatil mere zakhmoon ka masiha ho ga jis main roshan na ho ehsas-e-mohabbat ka chiragh dil na kahiye ussay wo aqal ka sehra ho ga koi daawa na karay apni wafadari ka shama jalti hae to parwana bhi jalta hoga hum say wabista hae tareekh saleeboon ki Raes hum jahan tehrain zamanay ko theherna ho ga -----------------------------------------------
tujhe kia khabar teri yaad nain mujhe kaisay kaisay sata diya kabhi mehfiloon main rula diya kabhi khalwatoon main hansa diya kabhi yun hua k teri yaad main namaz apni qaza hui kabhi yun hua k teri yaad nay mujhe mere Rab say mila diya -----------------------------------------------
Tum bhi auroon ki tarha saza do hum ko qissa-e-parina samajh kr bhula do hum ko aadi hain hum zakhm khanay k tum ik naya zakhm laga do hum ko likho naam hamara dil ki zameen per aur phir khak main mila do hum ko. -----------------------------------------------
ana ki qaid say niklay moqabla to kare wo mera sath nibahnay ka hosla to kare kabhi na totne wala hisar ban jao wo meri zat main rehne ka tazkara to kare usse he sonp doon apni yeh muntazir ankhain wo meri khoj main jane ka faisla to kare -----------------------------------------------
Ab k us ki aankhoon main bay sabab udasi thi ab k us k chehray pay dukh tha bay hawasi thi ab k yun mila mujh say main nashinasa hoon wo bhi ajnabi jaisay zard khal-o-khad uskay sogwar daman tha ab k us k lehjay main kitna khurdara pan tha wo k umr bhar jisnay shehr bhar k logoon say mujh ko hum sukhan jana azal say aashna likha khud say mehrbaan samjha mujh ko dilruba likha ab k sada kaghaz per surkh roshnai say us nay talkh lehjay main mere naam say pehlay sirf "bewafa" likha. -----------------------------------------------
Badla wafa ka dainge bari sadgi say hum tum hum say roth jao ge to zindagi say hum -----------------------------------------------
Na main pas usko bula saka na main dil ki baat bata saka wo hansi hansi main he chal diya k main hath tak na hila saka yunhi sochta raha daur tak magar us ko kuch na bata saka ye maqam he tha ajeeb sa k main khud ko bhi na bacha saka wo juda bhi kaise hua k main koi rasm tak na nibha saka -----------------------------------------------
Palat kar aankh num karna mujhe hergiz nahi aata gae lamhoon ka gham karna mujhe hargiz nahi aata mohabbat ho to behad ho jo nafrat ho to bhi bay payan koi bhi kaam kum karna mujhe hargiz nahi aata -----------------------------------------------
Kabhi drakhton ki chaon main socho mujhe sard c aahon main ankhon say jab mera intzar bhao gay main yaad aaonga jitna bhi mujhko bhulao gay main yaad aaonga jitna bhi daur tm jao gay... jao jo sapno k safar main jago gay mehki c sahar main kuch kehte kehte jo tm kho jao gay yaad aaonga main yaad aaonga jab tanha rahoon pay jao gay main yaad aaonga jitne qadam tm uthao gay main yaad aaonga mun pukare tujhe sun chupi hae tere dil main aisi koi dhun chupke say jo sirgoshi ho jago to khamoshi ho na ho ga koi pass ik ho gi aas yad aaigi wo bat tha wo jo koi sath main yaad aaonga jab dil say tm muskorao gay main yaad aaonga jo yaad aaon to ashk kaise phir rok paogay main yaad aaonga haan main yaad aaonga........ -----------------------------------------------
Sath chalne walay jab sath chorh jatay hain waqt tham nahi jata koi mar nahi jata koi mar bhi jae to zindagi nahi rukti rastoon ko chalna hae rastay to chaltay hain log miltay rehtay hain zakhm siltay rehtay hain grd grd lamhoon main umr kat he jati hey kuch musafiroon ko bus Manzilain nahi milteen...
do char baras ka qissa jb maine us ko dekha tha wo chehra janay kiyun mujhko kuch apna apna lagta tha wo jado tha un aankhoon main main uljha uljha rehne laga madhosh kiya yun khaboon nay hr shahks he pagal kehne laga main us say dil ki baat kahoon ye lamha bhi daur na tha sub college main ye baat urri main go itna mashoor na tha her koi jagha jagha ye kehta tha ye us larki pay marta hae aur us say milne ki khatir her roz bahane karta hae ik roz maine sham dhalay us jan-e-ghazal ko rok liya rok k apni sansoon ko izhar kiya iqrar kiya ye pyar ki batain sun k wo kuch dair tak khamosh rahi uljha dia hath main pallo ko sharmai aur ghabra gai phir dheeray say boli wo tum kesi batain krtay ho main to aam c bus ik larki hoon tm kahay ko dukh sehtay ho main holay say nazdeek hua us k hath pay apna hath rakha khamosh fiza k jado main main holay say yun bola tha her dukh tmhari khatir ab main hans kar ganwara kar loon ga tm pyar k gar iqrar karo main kantoon pay guzara kar loon ga wo hans kar booli daikhain gay main samjha chahat jeet gai main nadaan tha mujhe maloom na tha is jag say pyar ki reet gai ik roz maine kisi say suna wo jo chahat ki ik dewi thi zar walay us ko jeet gae ye manzil garchay khab hui hasil ye bhi kuch kum to nahi main ab bhi ik musafir hoon main us say bichar kr shair hoon... -----------------------------------------------
wo kitne itminan say thukra gaya mujhe aanso bana k aankh say tapka gaya mujhe kesi rehbari thi ye kaisa faraib tha manzil dikha k rah say bhatka gaya mujhe khamosh nigahoon say kahani suna gaya lafzoon k hair phair main atka gaya mujhe mujhko bhi bachpanay ka ik mazak samajh kar choti c ik hansi main urra gaya mujhe do din main us k dil say mohabbat utar gai aur do he din main yaad say mita gaya mujhe -----------------------------------------------
Hath ki lakeeron main kiya talash karte ho, in fazool batoon main kis liye ulajhtay ho, jis ko milna hota hae bin lakeer dekhay he, zindagi k rasoon per sath sath chalta hae, phir kahan bicharta hae jo nahi muqadar main, kab hamain wo milta hae kab wo sath chalta hae, hath ki lakeroon main kiya talash karte ho??? -----------------------------------------------
Rakhe khuda ne do raste mujhe azmane ke liye, wo chor de mujhe ya main chor doon usey zamane ke liye, kesey mang loon RAB se usey bhool janey ki dua, hath uthe nahi hain dua men usey bhool janey ke liye, nahi ki zindagi mai maine koi bhi naiki, par parhi hain chup ke kuch NAMAZAIN usey pane ke liye. -----------------------------------------------
wo dil ki batain zamanay bhar ko na yun sunata mujhe batata wo ik dafa to meri mohabbat ko azmata mujhe batata zamanay walon ko kia pari hae sunain jo haal-e-dil-e-shikasta magar meri to ye arzo thi mujhe bulata mujhe batata mujhe khabar hae k chupkay chupkay andharay us ko nigal rahay hain main us ki ratoon main apnay dil ka diya jalata mujhe batata sitam kiya hae us nay jo shehr chora hae khamoshi say main us ki khatir ye sari duya bhi chor jata mujhe batata mujhe batata... -----------------------------------------------
Chalo ik nazm likhtay hain kisi k naam likhtay hain magar ye sochna hae k ab is main zikr kis ka ho k is main baat kis ki ho k is main zaat kis ki ho aur ye bhi farz kartay hain k jis pay nazm likhtay hain humain us say mohabbat hae humaray saray jazboon ko bus us ki he zaroorat hae chalo ik kaam kartay hain k hum jo nazm likhtay hain tumharay naam kartay hain tumhi unwaan ho is ka tumhara zikr hae is main tumhari baat hae is main tumhari zaat hae is main -----------------------------------------------
Phir aisa karna k is nazm ko bay unwaan likhna janti ho kiyun? kiyun k wo zaat kaheen kho gai wo baat kahtam ho gai muhabat har gai dunya ki rasmoon say jazbay sard ho gae zamanay ki qasmoon say so jo likhna to ussay bay unwaan likhna bay naam likhna bay naam-o-nishaan likhna.... -----------------------------------------------
ik umar ho chuki usay badlay huay magar is zindagi say us ka hawala nahi gaya us nay kaha to us ki tammana bhi chor di uski kisi bhi baat ko tala nahi gaya -----------------------------------------------
kal raat janay kiya hua kuch dair pehlay neend say kuch ashk milnay aa gae kuch khab bhi totay huay kuch log bhi bholay huay kuch gard main lipti hui kuch bay panah pheli hui kuch khol main simti hui bay rabt sochain liye bhuli hui batain liye ik shakhs ki yadain liye phir dair tak jaga kiye sochon main gum baithay rahay ungli say thanday farsh per ik naam bus likhtay rahay kal raat bhi wo raat thi kuch dair pehlay neend say hum dair tak rotay rahay -----------------------------------------------
bullay shah us naal yari kadi na layo jisno apny tay gharoor hovay maan bap no bura na akhiyu bhavan lakh una da qasoor hovay buray rastay kadi na jayo chahay kini vi manzil daur hovay raah janday nu dil kadi na dayvo chahay lakh maun tay noor hovay mohabat sirf uthay karyo jithay piyar nibhan da dastoor hovay -----------------------------------------------
Is shab k muqadar main sehr nahi Mohsin daikha hae kaeen baar chiraghoon ko bhuja k -----------------------------------------------
kitnay hamdard milay, dost milay yaar milay sub ubhartay huay soraj k paristar milay zindagi to mujhe bazar main lay he aai main to Yousaf bhi nahi k koi kharidar milay -----------------------------------------------
zindagi k din kaisay bhi hoon guzar jaingay ik din hum bhi chupkay say mar jaingay aaj rehtay hain kisi k dil main yaad ban kar kal aanso ban kar ankhoon say nikal jaingay -----------------------------------------------
din raat sulagnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae hum aap bikharnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae kiya apni tumko batlain kiya haal hamara hota hae hum tanha ronain lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae ye sansain bhi tham jati hain ye dharkan bhi ruk jati hae hum jenay marnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae -----------------------------------------------
uski aankhoon main koi dukh basa hae shayed ya mujhe koi wahm hua hae shayed mainay pocha k bhool gae ho tm bhi mujhe ponch k aanso us nay kaha!! shayed....
Rastay ik safar chahtay thay musafir humsafar chahtay thay chahti hae jaisay chandni chand ko hum bhi kisi ko is qadar chahtay thay -----------------------------------------------
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili Jisay Chahtey Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili, Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili, Chehroon Main Doosroon K Tumhain Dhondtey Rahey Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili, Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon Alfaaz Dondney Ki Bhi Mohlat Nahi Mili, Tujh Ko Gilla Raha K Tawajja Na Di Tujhey Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili, Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili, Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi magar Afsoos K Tujh Se apni Aadat Nahi Mili -----------------------------------------------
Rafaqatoon k silsilay na toot jain kaheen, kabhi kabhi milnay ka silsila rakhna, mana aur log bhi hain qareeb tairay, magar meri zaat ko auroon say juda rakhna. -----------------------------------------------
Toot kar chaha jissay wo laut kar aaya nahi, meray dil ko uskay siwa aur koi bhaya nahi, pyar ki sodagri main hum barabar he rahay, us nay kuch khoya nahi hum nay kuch paya nahi. -----------------------------------------------
Hasti ko muhabbat main fana kaun karay ga? ye farz siwa meray ada kaun karay ga, hathoon ki lakeeron ko zara daikh najomi, ye daikh meray sath wafa kaun karay ga? -----------------------------------------------
Aarzo-e-safar ka jab hum nay irada kiya tha, sath chalnay ka us nay bhi wada kiya tha, kuch us ko raas na aain waday ki sadaqatain, kuch aaitbar humnay bhi ziada kiya tha. -----------------------------------------------
Sehra ka aik drakht tha tanhaiyun main gum, Aisay na apni zaat main khoya karay koi. -----------------------------------------------
Hzar zakhm chupa k wo apnay seenay main, khushi k phool zamanay main bantta he raha. -----------------------------------------------
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Manderon se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hay Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta Ye acha hay ke aapas Kay bharam na tootne paey Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki sookhti rag main zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqat baatein bana kar kuch nahi milta Mujhey aksar sitaron se ye awaz aati hay Kisi ke hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta Jiggar ho jaega chalni ye ankhein khoon roengi Ae dil befaiz logon se nibah kar kuch nahi milta -----------------------------------------------
hum bhi hansty rahty hain tum bhi hansty rahty hoo ghum diloon main palty hain aur pata nahi chalta kitny hi zamanoon se kitny ho makanoon main roshni nahi hoti aur pata nahi chalta tum bin jii na paain gy akser yah kahty rahty thy tum bin bhi jeety rahty hain aur pata nahi chalta -----------------------------------------------
Bina Ik Lafz Boly... bazahir aam lehjay main kaha tha main ne jab us se "badal lo raasta apna juda rahain yaheen karlo hamaray chahnay na chahnay se kuch nahi hota ye hi sach hai ke hum do mukhtalif raston ke raahi hain to phir kion dil ki manain hum shuru main manti hoon main azziyat dil ko pohanchay gi magar phir waqt guzray ga sabhi zakhmon ko bhar de ga" meray is aam se lehjay pe wo ik pal ko chonka tha meri aankhon main aankhain daal kar hairat se poocha tha "ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?" bohat hi jee karda kar ke main us dam muskuraii thi bohat khud pe jabar kar ke main us se keh ye payi thi "meri tum fikr rehnay do sambhal jaoon gi main khud hi sabhi zakhmon ko sii loon gi bhula kar sari batoon ko akaili bhi main jee loon gi" buhat hi be yaqeen aakhoon se us ne mujh ko dekha aur Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya aur ab tark_e_taalluq ko agarche umar beeti hai magar is dil pe us ki zaat ka jo naqsh qaaim tha kabhi dhundla nahi hota mujhay mehsoos hota hai ke jaisay meray kanoon main wo apni bolti aankhoon se sargoshi si karta hai "WO SAB JO KEH RAHI THEEN KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?" -----------------------------------------------
Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay
Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kaheen choot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan Tujhay ra'asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Mujhay dhondta he phiray ga tu, na jiye ga, roz maray ga tu Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay!!!! -----------------------------------------------
Na chahat k jazbat alag na khushiyun k lamhat alag na phool c thi mehkaar alag na guzri koi bahar alag na hontoon ki muskan alag na dil k ehd o pemaan alag na deen alag na emaan alag na sur sangeet naghmat alag thi sari baat lakeroon ki tere hath alag mere hath alag.... -----------------------------------------------
Pal pal tarastay thay us pal k liye wo pal aaya bhi to kuch pal k liye socha tha usay zindagi ka ik haseen pal bana daingay per wo pal tha bhi to kuch pal k liye -----------------------------------------------
chalo tm theek kehtay ho mohabbat aur siyasat main sabhi atwaar jaiz hain chalo hum maan laitay hain magar ye jang kaisi hae? tum he mere muqabil ho chalo hum jeet ki khwahish tumhi pay waar daitay hain dhanak k pull pe chal k hum gagan k paar jatay hain chalo hum haar jatay hain -----------------------------------------------
wo kum sukhan wo kaj adaa wo bewafa acha laga... jab bhi mila rutha huwa jab bhi mila acha laga... wo zulm pay mayel bohat wo jabr ka qayel bohat us ka sitam her ik sitam mujh ko sada acha laga tum pyar k qabil nahi tum pyar k layeq nahi us na kaha hum nay suna acha laga... -----------------------------------------------
tabasam sa saja kar ye kaha pagal dewaane nay... zamana saz logon ko kahan samjha zamanay nay.... meri saansain meri dharkan mera dil bhi nahin mera.... amanat kar lia ye sub kuch ik begaane ne.... humain ab muskurane say ajab "vehshat" c hoti hae.... humain aisa rulaya hae hamaray muskuranay nay...!
Ik raat hui barsat bohat main roya sari raat bohat her gham tha zamanay ka lakin main tanha tha us raat bohat phir aankh say ik sawan barsa jab sehar hui khayal aaya wo badal kitna tanha tha jo barsa sari raat bohat -----------------------------------------------
zindagi ka her raaz tanhai main pa liya jis ka bhi gham mila apna bana liya gham humara sunne ko jab koi na mila to rakha aaina samnay aur khud he ko suna liya -----------------------------------------------
is nae zamanay k aadmi adhoray hain sortain to milti hain seratain nahi milteen -----------------------------------------------
garm aanso aur thandi aahain mun main kia kia mausam hain is bagya k bhaid na kholo sair karo khamosh raho aanghain moond kinara baitho mun k rakho band kwar insha g lo dhaga lay lo lab c lo khamosh raho -----------------------------------------------
nahi wo shakhs muqadar main phir b us se miltay hain bara pur lutf lagta hae muqadar ko saza daina -----------------------------------------------
mujh say bichar kar banam ho jao gay sodagroon k hathoon nelaam ho jao gay mujh ko acha nahi lagta her ik say milna her kisi say milo gay to aam ho jao gay -----------------------------------------------
ek pal baghair dekhay ussay yun guzar gaya aisa laga ik zamana guzar gaya us k liye buland raha hath umr bhar apnay liye duaoon ka lamha guzar gaya -----------------------------------------------
wafa ka ehd jo tm nay kia wo torh mat daina suno halat kuch bhi hoon hamain chor mat daina hamaray pass reh jae faqat yadoon ka sarmaya muhabbat ki kahani ko tum aisa morh mat daina -----------------------------------------------
ab agar krna to kisi aisay ki chahat krna jisko aata he na shikwa shikayat krna pehlaykhusbo k mizajoon ko parakh lo Faiz phir gulistan k kisi gul say muhabbat karna -----------------------------------------------
Mohabbat ka bhi hae mausam say ta'aluk kitna rut badalti hae to sub log badal jatay hain -----------------------------------------------
mujhe jo kuch bhi likhna tha abhi main likh nahi paya
meri tahreer ki zad main abhi to kuch nahi aya
abhi wo dard likhna hai jo anso khoon ke laye
abhi ruswai likhni hai jo humra Sang bhi laye
abhi wo neend likhni hai jo sulli per bhi na aye
abhi wo shaam likhni hai jise koi chura laye
abhi wo shokhi likhni hai gulabi gaal ker jaye
abhi 2 pal bhi likhny hain jo tere sang thy bettaye
abhi wo loog likhny hain jo mujh ko kho ke pachtaye
abhi wo shakhas likhna hai jo mujh ko khooj ke laye
mujhe wo sab hi likha hai jo tum se kah nahi paye
mujhe wo sab hi likha hai jo koi seh nahi paye
mujhe wo sab hi likhna hai keh teri ankh bher aye
batao kya likhain phir hum jo tere mann ko bhaa jaye
chalo kuch bhi nahi likhty kah tera bherm rah jaye -----------------------------------------------
mere hathoon ki lakeeron main ye aaib hae Mohsin main jis shakhs ko cho loon wo mera nahi rehta -----------------------------------------------
POOCHANEY WALEY TUJHE KAISEY BATAIEN AAKHIR ? DUKH EBARAT TU NAHIN JO TUJHE LIKH KAR BHAJEIN YE KAHANI BHI NAHIN HAI KE SUNAYEIN TUJH KO NA KOI BAAT HI AISI KE BATAEIN TUJH KO ZAKHAM HO TU TERE NAKHUN KE HAWALEY KAR DEIN AAINA BHI NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO TU NE POOCHA HAI MAGAR KAISEY BATAIEN TUJH KO YE KOI RAAZ NAHIN , JIS KO CHUPAYEN TU WO RAAZ KABHI CHEHRE , KABHI AANKHON SE CHALAK JATA HAI JAISEY AANCHAL KO SANBHALEY KOI , AUR TEZ HAWA JAB BHI CHALTI HAI TU SHANOON SE DHALAK JATA HAI AB TUJHEY KAISEY BATAYEN KE HAMEIN KAYA DUKH HAI ? JISM MEIN REENGATI HAI MUSAFIT KI THAKAN PHIR BHI KANDHON PE UTHAEY HUEY HALAT KA BHOJ APNE QADMON SE HATATE HUEY SAYA APNA JIS KO BHI DEKHIYE WO CHUP CHAP CHALA JATA HAI KABHI KHUD SE KABHI RASTON SE ULJHATA HAI MAGAR JANEY WALA KISI AWAZ PE RUKATA HI NAHIN DHOONDTA HAI NAYA PERAYA - E - IZHAAR HAMEIN ISTA-AROON KI ZUBAN KOI SAMJHATA HI NAHIN TU SAMJHTA HAI KE KHUSHBOO SE MUATAR HAI HAYAT TU NE CHAKHA HI NAHIN ZEHAR KISI MAUSAM KA TUJH PE GUZRA HI NAHIN RAQS - E - JANOON KA ALAM AISA AALAM , JAHAN SADIYUN KE TAHYEIRKA NASHA HAR BICHADTI HUI SA-AT SE GALEY MILTA HAI IS TAMASHEY KA B ZAHIR TU NAHIN KOI SABAB SIRF MEHSOOS KARO GE TU PATA CHALTA HAI BE - KHABAR REHNA KISI BAAT SE ACHA HI NAHIN TU KABHI WAQAT KI DEHLEEZ PE THEHRA HI NAHIN TU NE DEKHEY HI NAHIN HALQA - E - AMROZ KE RANG GARMI - E - WADA - E - FARDA SE PIGHALTEY HUE LOOG APNEY HI KHAWAB KI TABEER MEIN JALTEY HUEY LOOG AMAN KE NAAM PE BAROOD BHARI DUNIYA MEIN ROOZ JEETEY HUEY ROOZ HI MARTEY HUEY LOOG ZINDAGI FILM NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO TU NE POOCHA HAI MAGAR KAIE BATAEIN TUJH KO ? POOCHANEY WALEY TUJHEY KAISEY BATAEIN AAKHIR ? DUKH EBAARAT TU NAHIN HAI JO LIKH KAR BHEJEIN DUKH TU MEHSOOS HUA KARTA HAI CHAHEY TERA HO KE MERA DUKH HO AADMI WO HAI JISEY JEETEY JI SIRF APNA HI NAHIN SAB KA DUKH HO CHAAK HO JAYE JO IK BAAR HAWAS KE HATHON JAMA - E - ISHQ DOOBARA TU NAHIN SILTA HAI AASMAN MERI ZAMEENON PE JHUKA TU HAI LAKIN TERA AUR MERA SITARA HI NAHIN MILTA HAI -----------------------------------------------
Tumhara naam likh likh ker mitana bhul jata hun, tumhe jab yaad kerta hun..bhulana bhul jaata hun, buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain, magar jab tumse milta hun..sunana bhul jaata hun, tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai, may aksar tumko khwabun may..batana bhul jaata hun, may har shaam kehta hun k tumko bhul jaunga, magar jab subha huti hai..to bhulana bhul jaata hun........ -----------------------------------------------
unko namoos bhi izzat bhi pazirai bhi, mujhko roonay ko muyassar nahi tanhai bhi, apnay he haal pay hansna kabhi hans k rona, main bayak waqt tamasha bhi tamashai bhi. -----------------------------------------------
kisi ko apnay amaal ka hisab kiya daitay, sawal saray ghalat thay jawab kiya daitay, jo ik lafz ki khusbo ko na rakh saka mehfooz, us k hath main sari kitab kiya daitay -----------------------------------------------
nadaan dostoon say nahi kuch gila mujhe, barbaad kar gaya mera zoaq-e-wafa mujhe, jin dostoon nay haal na poocha tamam umr, rahi aaj tak unhi say umeed-a-wafa mujhe -----------------------------------------------
bikhar gae meri zindagi k tamam warq, na janay kab koi aandhi ura k lay jae, main kab talak dosroon k dukh sambhal k rakhoon, jis jis k hain nishani bata k lay jae -----------------------------------------------
Dard ki shidat say sharminda nahi meri wafa, dost gehray thay to zakhm bhi gehray lagay -----------------------------------------------
meray hathoon ki lakeroon main ye aib hae Mohsin, main jis shahks ko cho loon wo mera nahi rehta -----------------------------------------------
umeed ban k log zindagi main aatay hain, khab ban k ankhoon main sama jatay hain, pehlay yaqeen dilatay hain wo hamaray hain, phir najanay kiyun tanha chor jatay hain -----------------------------------------------
Hum her roz udaas hotay hain aur sham guzar jati hae kisi roz sham udaas ho gi aur hum guzar jain gay -----------------------------------------------
wo baat baat pay daita hae mujhe parindoon ki misaal, saaf saaf nahi kehta k mera shehr chorh do -----------------------------------------------
yehi wafa ka sila hae to koi baat nahi, ye dard tum nay diya hae to koi baat nahi, itna bohat hae k tum daikhtay ho sahil say, safina doob raha hae to koi baat nahi, ye mere bus main kahaan k tujhe bhool sakoon, to mujh ko bhool chuka hae to koi baat nahi -----------------------------------------------
hujum-e-gham meri fitrat badal nahi saktay, kiya karoon k mujhe aadat hae muskurane ki -----------------------------------------------
Qudrat k faisloon ka bhi lazim hae ehtaraam, warna main chahta tha meray sath to rahay -----------------------------------------------
gaya zamana bohat suhana, jo yaad aaye to laut aana, wo ankhoon ankhoon main baat karna, wo batoon batoon main raat karna, hansi chupanay ko lab k aagay, haseen komal say hath karna, kabhi hansana kabhi rulana, jo yaad aae to laut aana, hamain tumhari he justuju hae, tumhari he chahat ki aarzo hae, ye baat tum bhi kabhi to samjho, humari chup main bhi guftugu hae, samajh sako to hamain batana, jo yaad aaon to laut aana........ -----------------------------------------------
diwangi say kam na thi kuch apni justuju, hum bewafa jahaan main wafa dhondtay rahay, mehromiyun k daur main kin hasratoon k sath, pathroon k dil main khuda dhondtay rahay
Barishoon k mausam main, tum ko yaad karnay ki, aadatain purani hain, ab ki baar socha k, aadatain badal dalain, phir khayal aaya k, aadatain badalnay say, barishain nahi rukteen -----------------------------------------------
aitbar totay to, wo bhi aisay logoon per, jin ko apna hum jain, jab bhi gham say bojhal hoon, unko mehrabaan manain, aitbar totay to, aisay zakhm miltay hain, jo kabhi nahi bhartay -----------------------------------------------
yun rah-a-wafa ki saleeb per, tere do qadam uthanay ka shukria, bara pur khatar tha ye rasta, tere laut janay ka shukria, jinhain bojh lagti hae zindagi, sir-e-bazm unko daikh kar, tere muskuranay ka shukria, jo usool tha zamanay bhar ka, wo usool tonay nibha dia, yehi rasm tehri mautabar, mujhe bhool janay ka shukria -----------------------------------------------
bana gulab to kanta chubha gaya ik shakhs, howa charagh to ghar he jala gaya ik shakhs, tamam rang mere aur saray khab mere, fasana tha k fasana bana gaya ik shakhs, palat sakoon na main agay he barh sakoon, mujhe ye kaun say rastay laga gaya ik shakhs, khula ye raaz k aaina khana hae dunya, aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs -----------------------------------------------
wo bhi raha baigana, hum nay bhi na pehchana, haan ae dil-e-dewana, apna ho to aisa ho -----------------------------------------------
mere senay main utar kar aziyatain, woh pochtay hain tumhari ankhoon ko kiya hua -----------------------------------------------
mere yaar bhi dewaar samajhtay hain mujhe, main samajhta tha mere yaar samajhtay hain mujhe -----------------------------------------------
Ye aur baat hae k us ki bandagi nahi hoti lakin usay bhol kar zindagi basar nahi hoti ye keh do her aik fard-e-shehr ko kisi ko chahtay rehna awargi nahi hoti -----------------------------------------------
bhula saktay to kab ka bhula diya hota mita saktay to kab ka mita diya hota tumhain kia pata kitna dard daiti hain uski yadain bata saktay to kab ka bata diya hota -----------------------------------------------
ik shakhs mujh ko zakhm-e-judai day gaya jab day saka na pyar to ruswai day gaya jatay huay wo apni nishani k tor pay kitnay kholos say mujhe tanhai day gaya -----------------------------------------------
Hamari aur us ki zindagi main faqat tarteeb ka farq hae Faraz uski zindagi main hum sub k baad aatay hain aur hamari zindagi main sub us k baad aatay hain -----------------------------------------------
yar nay dil ka haal batana chor diya hum nay bhi gehrai main jana chor diya jab usse he ehsas nahi dori ka hum nay bhi ehsas dilana chor diya -----------------------------------------------
hum say pocho kiya hota hae pal pal bitana bohat mushkil hota hae dil ko samjhana ye zindagi to beet he jati hae bus mushkil hota hae kuch lamhoon ko bhulana -----------------------------------------------
unglian aaj bhi ishi soch main gum hain Faraz us nay kaisay nae hath ko thama hoga -----------------------------------------------
kuch is liye bhi tum say mohabbat hae mujhko mera to koi nahi hae tumhara to koi ho -----------------------------------------------
tujh ko dunya say fursat milay to tujh say pochoon yaad bhi atay hain tujhe dost puranay walay ik to hae jisse bhool na pae hum warna andaz to atay hain humain bhi zamanay walay -----------------------------------------------
koi to hota! main jis k dil ki kitab banta main jiski chahat ka khab banta main hijr k mausam ki lambi ratoon main yaad ban kar azab banta koi to hota jo meri khwaish main khob rota dukhoon ki chadar lapait kar jujoom-e-dunya say door hota main roth jata manata mujh ko chahe mera qosoor hota koi to hota main jis k itnay qareeb hota na pass koi raqeeb hota main tanha us ka habib hota ye silsila bhi ajeeb hota koi to hota!!!!!! -----------------------------------------------
mujrim bhi tha Mohsin bhi mera lagta tha dast-e-qatil bhi mujhe dast-e-hina lagta tha aray daikhnay walay to usay daikhtay he reh jatay thay haan wo shahks mohabbat ka khudda lagta tha kantoon bhari shakh nazar aata tha kabi phool lagta tha kabhi baad-e-saba lagta tha ab logoon say pochta phirta hae meray ghar ka pata main jisay saray zamanay say bura lagta tha uski batain theen riwayat say rat kar Mohsin sub main rehta tha magar sub say juda lagta tha -----------------------------------------------
Us nay aanchal say nikali meri gumshuda kitab aur chupkay say mohabbat ka warq morh diya hamain maloom tha anjaam-e-mohabbat humnay akhri hurf say pehlay he qalam tor diya -----------------------------------------------
zara zindagi hae armaan bohat hain hamdard nahi koi insan bohat hain dil k dard sunain to sunain kis ko jo dil k qareeb hain wo anjaan bohat hain -----------------------------------------------
mera lafz lafz dua dua meray ansoon say dhula hua tujhe zindagi ki seher milay tujhe aainon ka safar milay ye dua hae meray humnasheen mujhe tujh say koi gila nahi tujhe zindagi main wo sukoon milay jo mujhe kabhi mila nahi -----------------------------------------------
wafa ruswa nahi karna kabhi aisa nahi karna main pehlay he akaila hoon mujhe tanha nahi karna judai bhi jo aae to dil maila nahi karna bohat masroof ho jana mujhe socha nahi karna bharosa bhi zarori hae magar sub ka nahi karna jo likha hae wohi hoga kabhi shikwa nahi karna haqiqat hae milan apna isse sapna nahi karna suno aisa nahi karna -----------------------------------------------
sub say chupa k dard jo wo muskura diya uski hansi nay to aaj mujhko rula diya lehjay say uth rahi thi har ik dard ki dastaan chehra bata raha tha k sub kuch ganwa diya awaz main tehrao tha aankhon main nami thi aur keh raha tha k maine sub kuch bhula diya jane kiya usko logoon say theen shikayatain tanhaioon k dais main khud ko basa dia khud bhi wo hum say bichar kar adhora sa reh gaya hum ko itnay logoon main tanha bana diya -----------------------------------------------
kabhi nazrain milanay main zamanay beet jatay hain kabhi nazrain churanay main zamanay beet jatay hain kisi nay aankh bhi kholi to sonay ki nagri main kisi ko ghar bananay main zamanay beet jatay hain kabhi kali siah ratain hamain ik pal ki lagti hain kabhi ik pal bitanay main zamanay beet jatay hain kabhi khula jo darwaza to samnay khari thi manzil kabhi manzil ko panay main zamanay beet jatay hain ik pal main toot jatay hain wo rishtay jin k bananay main zamanay beet jatay hain -----------------------------------------------
tum roth jao mujh say aisa kabhi na karna main ik nazar to tarsoon aisa kabhi na karna haroon so so sawal kar k tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna mujh say he mil k hansna mujh say he mil k rona mujh say bichar k g lo aisa kabhi na karna tum chand ban k rehna main daikhta rahonga kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna tum chalay jao bhi to dikhoon tumhara rasta tum laut k na aao aisa kabhi na karna -----------------------------------------------
mila wo bhi nahi kartay mila hum bhi nahi kartay wafa wo bhi nahi kartay dagha hum bhi nahi kartay unhain ruswai ka dukh hae humain tanhai ka dukh hae gila wo bhi nahi kartay gila hum bhi nahi kartay gali k kisi morh per takrao ho he jata hae ruka wo bhi nahi kartay ruka hum bhi nahi kartay jab bhi daikhtay hain sochtay hain kuch kahain un say suna wo bhi nahi kartay kaha hum bhi nahi kartay -----------------------------------------------
adat he bana li hae is sehr k logoon nay andaz badal laina awaz badal laina dunya ki mohabat k aghraz badal laina mosam jo naya aae raftar badal laina aghyar wohi rakhna ahbab badal laina rastay main agar milna nazroon ko jhoka laina awaz agar do to katra k guzar jana her ik say juda rehna her ik say khafa rehna jatay huay rahi ko manzil ka pata day kar rastay main rula daina adat he bana li hae is sehr k logoon nay... -----------------------------------------------
moom ki tarha pighaltay huay daikha usko rut jo badli to badaltay huay daikha usko wo jo kantoon ko bhi narmi say chua karta tha hum nay pholoon ko masaltay huay daikha usko janay kis gham ko chupanay ki tamanna hae usay aaj her baat pay hanstay huay daikha usko wo maangnay jata hae duaoon main kisay hath uthtay he sisaktay huay daikha usko phir duaoon k liye hath uthae hum nay jab muqadar say ulajhtay huay daikha usko -----------------------------------------------
jo khayal thay qayas thay wohi log mujhsay bichar gae jo mohabatoon ki asas thay wohi log mujhsay bichar gae jinhain manta nahi ye dil wohi log hain mairay humsafar mujhe her tarhaan say jo raas thay wohi log mujhsay bichar gae mujhe lamha bhar ki rafaqatoon k sarab aur satain gay meri umr bhar ki jo pyas thay wohi log mujhsay bichar gae jinhain kar saka na qobool main wohi log sharreq-e-safar huay jo meri talab meri aas thay wohi log mujhsay bichar gae meri dharkanoon k qareeb thay meri chah thay mera khab thay wo jo roz-o-shab mere pas thay wohi log mujhsay........ -----------------------------------------------
tumhara khat mila wo jis main tum nay pocha hae k ab halat kaisay hain? mere din raat kaisay hain? mehrbani tumhari hae k tum nay is tarha mujh se mere halat pochay hain mere din raat pochay hain tumhain sub kuch bata doonga mujhe itna batado k.. kabhi sagar kinaray kisi machli ko daikha hae? k jis ko lehrain pani ki kinaray tak to lati hain magar phir chorh jati hain mere halat aisay hain mere din raat aisay hain
karoon na yaad magar kis tarha bulaoon usay ghazal bhana karoon aur gungunaoon usay wo khar khar hae shakh-e-gulab ki manind main zakm zakm hoon phir bhi galay lagaoon usay ye log tazkaray kartay hain apnay logoon k main kaisay baat karoon aur kahan say laoon usay jo humsafar sir-e-manzil bichar raha hae Faraz ajab nahi k agar yaad bhi na aaon usay karoon na yaad magar kis tarha....... -----------------------------------------------
mere khaboon k sub naqsh mita day koi sokahay patoon k ye dhair jala day koi meri pehchan k ik shakhs hae is sehr main main bhi zinda hoon zara usko pata day koi -----------------------------------------------
do qadam to sub chal laitay hain magar zindagi bhar k sath koi nahi nibhata agar roo kar bhulai jati yadain to hans kar koi gham na chupata -----------------------------------------------
aaj rotha huwa ik dost bohat yaad aaya acha guzra hua kuch waqt bohat yaad aaya jo mere dard ko seenay main chupa laita tha aaj jub dard hua to bohat yaad aaya -----------------------------------------------
ussay apnay farda ki fikr thi wo jo mera wakif-e-hal tha wo jo uski subha urooj thi wohi mera waqt-e-zawal tha mere dard kaisay wo janta meri baat kaisay wo manta wo to khud fana k safar main tha usay rokna bhi muhal tha kahan jao gay mujhe chorh kar ye poch poch k main thak gaya wo jawab mujh ko na day saka wo to khud sarapa-e-sawal tha wo mila to mudat k baad bhi mere lab pay koi gila na tha ussay meri chup nay rula diya jisay guftogo main kamal tha lipat k mujh say wo ro diya mujhe sirf itna he keh saka jisay janta tha main zindagi wo to mera wahm-o-khayal tha -----------------------------------------------
mohabbat ka ajeeb karobar hum nay kiya wo bewafa he sahi pyar hum nay kiya agar wo chorh gaya to mat kaho bura usko qosoor uska nahi aitbaar hum nay kiya -----------------------------------------------
bohat he maddat k baad kal jab kitab-e-mazi ko mainay khola bohat say chehray nazar main utray bohat say namoo pay dil pasija ik aisa safha bhi usmain aaya likha huwa tha jo ansoon say k jis ka unwaan "humsafar" tha ye safha sub say he mutabar tha kuch aur aanso phir uspay tapkay phir us say agay main parh na paya kitab-e-mazi ko band kar k ushi ki yadoon main kho gaya main agar wo milta to kaisa hota inhe khayaloon main so gaya main -----------------------------------------------
kaheen milay to ussay kehna dewar-e-nafrat gira raha honn guzray dinoon ko bhula raha hoon wo apnay waday say phir gaya hae main apnay waday nibha raha hoon kaheen milay to ussay kehna hamesha apna khayal rakhna apnay saray gham mujh ko day day aur tamam khushian sambhal rakhna kaheen milay to ussay kehna main tahna sawan bita chuka hoon main saray armaan jala chuka hoon jo sholay bharkay thay khahishoon k aansoon say apnay bhuja chuka hoon -----------------------------------------------
wo mujh ko likhta tha jan meri judaiyun ki udas rut main khafa na hona main laut aaya to qurbatoon k haseen mausam se dil ka angan sawar doonga bahar is main utar doonga main lay k aaonga sath apnay mohabatoon k gulab mausam wafa main dobay semab lamhay tumhari khatir... magar... magar wo aaya! to uzar laya jawaz laya wazahatoon ka mahaz laya main jin dukhoon ki tha intaha per wo phir say un ka aghaz laya...!! -----------------------------------------------
usay hum yaad atay hain fursat k lamhoon main magar ye baat bhi sach hae usay fursat nahi milti... -----------------------------------------------
mera us shehr-e-adawat main basera hae jahan log sajdoon main bhi logoon ka bura sochtay hain -----------------------------------------------
dosti apni bhi asar rakhti hae Faraz bohat yaad aingay zara bhool kar to daikho -----------------------------------------------
Mujhey Fursat Hii Fursat Hai Saweray Jaldii Utna Hai Na Shab Ko Dair Sey Sona Kahien Bahir Nahi Jana Kisi Say Bhi Nahi Milna Na Koii Fiker Lahaq Hai Na Koii Yaad Hai Baaqi
Magar
Yeh Aakhri Misra
Zara Sa Jhoot Lagta Hai -----------------------------------------------
yahan mazdoor ko marnay ki jaldi yun bhi hae Mohsin k zindagi ki kashmakash main Kafan mehnga na ho jae -----------------------------------------------
apnay usool yun bhi kabhi tornay paray uski khata thi hath mujhe jornay paray aya na jab qarar dil-a-beqarar ko yadoon k rukh uski taraf mornay paray unko to meri yaad b aai na bhool kar apnay piyaray jin k liye chornay paray wo shahkhs Faraz bara bay asool tha apnay usool jis k liye tornay paray -----------------------------------------------
yun he issay log mohabat samajh baithay hain Faraz wo shahkhs mujhe jan say pyara hae aur bus...! -----------------------------------------------
ab kiya dhondtay ho jalay huay kaghazon ki rakh main faraz wo jis ka unwan "tum" thay wo afsana he jal gaya -----------------------------------------------
muhabatoon ki saza bay misal di us nay udas rehnay ki adat si dal di us nay -----------------------------------------------
wo jis k pass rehta tha dostoon ka hujoom suna hae Faraz kal raat ehsas-e-tanhai se mar gaya -----------------------------------------------
Ik zara si ranjish se Khawab toot jatay hain bherh mein zamanay ki haath choot jatay hain dost daar lehjay mein silwatein si parti hain ik zara si ranjish se shak ki zard tehni per phool badgumani k is tarha se khiltay hain zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain ghair ban k miltay hain umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai aur sira nahi milta maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti phool rang waadon k, khawab toot jatay hain manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai khaak urnay lagti hai khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain ik zara si ranjish se saath toot jatay hain..!! -----------------------------------------------
Meray dushmano say kaho koi Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai Keh shikast yun bhi qabool hai Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay Meray harf harf kay jism per Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajay phirtay khayal thay Woh nahin rahay Meray dushmanon say kaho koi Woh jo shaam sher-e-wisaal main Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay Woh nahin rahay
Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay,
wo nahin rahay Meray dushmanon say kaho koi Woh kabhi jo ehd-e-nishat main Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia Woh jo fatehana khumar main Meray saray kha’b nihaal thay Woh nahin rahay Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main Meray sur-khuroo mah-o-saal thay,
wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per Faqat aik qissa-e-haal hai ……… jo Nidhaal hai Jo gaye dinon ka malaal hai Meray dushmanon say kaho koi -----------------------------------------------
jab wo mujh say chup k roya to ye baat khuli Faraz kehnay ko hum aik hain lakin, dukh apna apna hae -----------------------------------------------
wafa ki laaj main us ko mana laite to acha tha anaa ki jang main aksar judai jeet jati hae -----------------------------------------------
Bichr gaya hae to us ka sath kia mangon, zra c umr hae gham se nijat kia mangon, wo sath hota to hoteen zarooratain bhi bohat, akaili zat k liye Qainat kia mangoon -----------------------------------------------
Hum bhi hanste rehte, hain wo bhi hanste rehte hain, aur pata he nahi chalta, gham dilon main palte hain, aur pata he nahi chalta, us bin g na paingay, aksar ye kehte rehte hain, us bin jeete rehte hain, aur pata he nahi chalta -----------------------------------------------
Mujhe fursat he fursat hae, sawere jaldi uthna hae, na shab ko dair se sona, kaheen bahir nahi jana, kisi se bhi nahi milna, na koi yaad hae baki, magar ye akhri misra, zara sa jhoot lagta hae -----------------------------------------------
Zindagi to apne he qadmoon pe chala karti hae Faraz auron k sahare to janazay utha karte hain -----------------------------------------------
main bus ik bar lajawab hua Faraz!! kisi apne nay kaha jab kaun ho tum
For my own part i would rather b in company with deadman than an absent 1,
for if deadman gives me no pleasure atleast he shows me no contempt where as
the absent one, silently indeed, but very painly, tells me that he does nothing
me worth his attention.....
I keep my tears inside
ReplyDeletesome times i want to hide
I always said no one cared if i did
I was right
now i am so lonely
now no one is here
just when i thought i was happy
i was sad
just when i though i was sad
i was just scared
i dont want to live like this
i want to let it out
i want to just scream
i wish i could just leave
leave the world
leave my fears
leave the past behind
i wish i could just grow up to be
to be a wonderful person
to live my life till the end
to have a friend forever
to never ever have to hold my tears in
i wish i was free to just cry
i wish i was just free to let it all out but i'm not
so i keep my tears inside.
I tried to tell you I love you
ReplyDeletebut the words were hard to find.
I'm always thinking about you
you're the only one on my mind.
Oh why do I act so shy forever hiding my face
I should learn to laugh and not to cry put your self in my place
There were times I tried to kiss you but something told me no.
You wanted me to hold you but I
kept letting you go.
I'm afraid that I am not the guy
you've searched for all these years.
I will kindly leave now don't you cry
try to hold back your tears.F
It's been so long I haven't seen you
for quite awhile
When I think of how we me met it only
brings back your smile.
I remember when I held you then and
told you we'd never part
I loved you then I love you now and
I'll hold you in my heart.
Gate of memories will never close,
ReplyDeletehow much v miss our friends no1 knows,
days will pass like years,
v remember da memories in silent tears.
barish ka mausam hae,
ReplyDeleteroh ki fizaoon main,
ghum zada hawaoon main,
bay sabab udasi hae,
is ajeeb mausam main,
bay qarar ratoon ki,
bay shumar batoon main,
un ginat afsanay hain, rooratain
jo bohat khamoshi say,
dil pay sehtay phirtay hain,
aur ye amr e majboori hae,
sub say kehtay phirtay hain,
aaj mausam bohat acha hae,
aaj hum bohat khush hain.
Roth jane ki aadaten na gayen,
ReplyDeleteDil jalane ki aadaten na gayen,
Zakham khakar bhi tujh say naam tera,
Gungunany ki aadaten na gayen,
Piyar sy jo bhi mil gaya,
Dukh sunany ki aadaten na gayen,
Do dilon ko ujaar ky hansna,
Yeh zamane ki aadaten na gayen,
Beesyun baar aazma kar hum ko,
Aazimany ki aadaten na gayen,
Raat ky pichle pehr aye Faraz,
Ghar ko aane ki aadaten na gayen.
wo jazboon ki tijarat thi,
ReplyDeleteye dil kuch aur samjha tha,
usay hansnay ki adat thi,
yeh dil kuch aur samjha tha,
mujhe us nay kaha aao,
nai dunya basatay hain,
usse soji shararat thi,
yeh dil kuch aur samjha tha,
meray kandhay per sir rakh kar,
kaheen kho gaya tha wo,
ye ik waqti inayat thi,
yeh dil kuch aur samjha tha,
mujhe wo daikh kar aksar,
nigahain phair laita tha,
ye darparda hiqarat thi,
yeh dil kuch aur samjha tha.
dost ban ban k milay mujhko mitanay walay
ReplyDeletemainay daikhey hain kai rang badalnay walay
tum nay chup reh k situm aur bhi dhaya mujh per
tum say achay hain meray hal pay hansnay walay
main tu ikhlaq k hathoon hi bika karta hoon
aut hoongay teray bazar main biknay walay
akhri bar salam-e-dil e muztarib lay lo
phir na lotain gay shab e hijr k ronay walay
dost ban ban k milay.......
karoon na yaad magar kis tarah bholaon usay
ReplyDeleteghazal bahana karoon aur gungunaoon usay
wo khar khar hae shakh e gulab ki manind
main zakhm zakhm hoon phir bhi galay lagaon usay
yeh log tazkiray kartay hain apnay logoon k
main kis tarah baat karoon aur kahan say laon usay
jo hamsafar sar e manzil bichar raha hae Faraz
ajab nahi k agar yaad bhi na aaon usay
karoon main yaad magar...........
MERI ANKHON PA MARTA THA,
ReplyDeleteMERI BAATON PA HANSTA THA,
NAJANAY SHAKHS THA KAISA,
MUJHE KHONEY SE DARTA THA,
MUJHE WO JAB BHI MILTA THA,
YEHI KEHTA THA,
SUNO..........
AGAR MAIN BHOOL JAON TO,
AGAR MAIN ROOTH JAON TO,
KABHI WAPIS NA AOON TO,
BHULA PAO GE YE SAB KCCH,
YOUHI HANSTI RAHO GI KIA.
YOUhi SAJTI RAHO GI KIA.
YEHI BAATIEN HAIN BUS US KI,
YEHI YAADIEN HAIN BUS US KI,
MUJHE BAS HAI PATA ITNA,
MUJHE WO PYAR KARTA THA.
MUJHE KHONAY SA DARTA THA...........
us ne kaha,,tum main pehli si bat nahi
ReplyDeletemain ne kaha,,zindagi main tera sath nahi
us ne kaha,,ab bi kisi ankh main dob jate ho
main ne kaha,,main ne kaha ab kisi ankh main wo gehrai nahi
us ne kaha,,ab bi phol kharidte ho
main ne kaha,,tere bad un main khushboo hi nahi
us ne kaha,,nila asman dekh kar kuch yad aaya
main ne kaha,,teri baton k siwa kuch yad nahi
us ne kaha,,ye udasi kiuon ha
main ne kaha,,tere gham k siwa kuch bi nahi
us ne kaha,,mere bad kisi se muhabat ki
main ne kaha,,tere bad ye lafz meri zindgi main shamil hi nahi
us ne kaha,,zindagi kya ha
main ne kaha,,tere siwa kuch nahi
us ne kaha neend tumhain aajati ha
main ne kaha,,teri bahon ka sahara nahi
us ne kaha kiuon tot kar chaha muje
main ne kaha,,main insan hon pathar tu nahi
us ne kaha,,tumhara ishq tu sehra tha
main ne kaha,,muje ab piyas hi nahi
us ne kaha,,kya main bewafa hon
main ne kaha,,muje ab wafa ki talash hi nahi
us ne kaha,,bhol jao muj ko
main ne kaha,,tum hakikat ho khab tu nahi
Usse rokte bhi to kis liye?
ReplyDeleteWo jo Shehr e dil tha ujar gaya
Wo jo khab tha bikhar gaya
kabhi mausamoon ki nazar lagi
kabhi wahmoon nay dara diya
kabhi manziloon k sarab nay
hamain rastoon main dagha diya
kabhi zindagi ki kitab say
hamain jis nay chaha mita diya
bas ishi liye..................
wo jo ja raha tha daur tak
usse daikhtay rahe magar
nahi di sada..
usse rokte bhi to kis liye?
Hamain her kisi nay hanste hi daikha hae
ReplyDeleteHamaray ansoo dil pay hi gira karte hain
sub ko mila daina farz hae apna
khud hum tanha hi raha karte hain
ajab rang main guzri hae zindagi apni
ReplyDeletek diloon pay raj kiya phir bhi pyar ko tarsay.
hamray baad nahi aae ga tumhain chahat ka aisa maza,
ReplyDeletetum logoon say kehte phiro gay mujhe chaho us ki tarha.
hatheliyun pay rakhe huay chiraghoon ko khud bujhaya hua tha pehle,
ReplyDeleteuddas mausam main bay basi ka ye sal kitna ajeeb sa tha,
safar akailay he kat lo gay ye maine pocha to ro para wo,
sawal kitna ajeeb sa tha,
jawab kitna ajeeb sa tha.
kabhi maum ban k pighal gaya
ReplyDeletekabhi girte girte sambhal gaya
wo ban k lamha guraiz ka
mere pass say nikal gaya
usse rokta bhi to kis tarha
k wo shakhs itna ajeeb tha
kabhi tarap utha meri aah say
kabhi ashk say na pighal saka
sar-e-rah mila wo agar kabhi
to nazar chura k guzar gaya
wo utar gaya meri aankh say
mere dil say kiyun na utar saka
wo chala gaya jahaan chor kar
main wahan say phir na palat saka
wo sambhal gaya Yawar magar
main bikhar k phir na simat saka
kabhi tum nay ye bhi socha
ReplyDeletek tumhare dil-e-garifta
tumhain kitna chahtay hain?
tumhain zindagi say barh kar
jo aziz hum nay jana
so, koi sabab to ho ga
kabhi tum nay ye bhi socha?
tumhain kiya khabar k hum ne
tumhain soonp di hain ratain
tumhain daan ki hain aankhain
tumhain roz-o-shab k dukh main
kabhi bholna bhi chahain
to kabhi na bhool paain
k ye ahd-e-zindagi hae
jissay torna bhi chahain
to kabhi na tor paain.
mujh say ziada agar koi tumhain chahe to
ReplyDeletemere hathoon say apna hath chora laina
mere sajdoon say apna sir utha laina
tor daina piyar ki zangirain
mita daina apne hath say lakeerain
meri ankhoon say apne khab
khaboon say meri tasweer mita daina
magar
shart ye hae k........
mujh say ziada koi tumhain chahe to........
mujhe bhool jana
ReplyDeletemere bus main shayad na ho laut aana
na likhna mera naam dil ki zameen per
ghamoon ka tasawar na lana jabeen per
samajhna yehi k main bewafa hoon
ya phir zindagi k dukhoon main ghira hoon
zameen pay lakeerain banate na rehna
mera naam likh k mitatay na rehna
jawani ko tum rog mat ye lagana
mere bus main shayad na ho laut aana
mujhe bhool jana
mujhe bhool jana.
pyar k deep jalane walay
ReplyDeletekuch kuch pagal hote hain
apni jan say janay walay
kuch kuch pagal hote hain
hijr k gehre zakhm milay to
mujh ko ye ehsas hua
pagal ko samjhane walay
kuch kuch pagal hote hain
jan say piyare logoon say bhi
kuch kuch parda lazim hae
sari baat batane walay
kuch kuch pagal hote hain
us k ishq main bheeg k Wasi
hum ko ye ehsas hua
dil ki baat main aanay walay
kuch kuch "pagal" hote hain.
Suna ho ga bohat tum ne
ReplyDeletekaheen ankhoon ki rim jhim ka
kaheen palkoon ki shabnam ka
parha ho ga bohat tum ne
kaheen lahjay ki barish ka
kaheen saghar k aanso ka...
magar tum ne kabhi ae dost
kaheen daikhe?
kaheen parhe?
kisi tahreer k aanso?
mujhe kisi ki judai ne..
ye meraj bakhshi hae
k main jo lafz likhta hoon
wo sare lafz rote hain
k main jo harf bunta hoon
wo sare batain karte hain
mere sang is judai main
mere ilfaz marte hain.
ye dard mit gaya to phir!
ReplyDeleteye zakhm sil gaya to phir!
bichar k sochta hoon main
wo phir say mil gaya to phir
main titlioon k shehr main rahoon to mujh ko fiqr hae
wo phool jo khila nahi wo phool khil gaya to phir
tumhain bhi kuch nahi mila mujhe bhi kuch nahi mila
tamam umr k liye ye dard mil gaya to phir
main is liye to aaj tak sawal bhi na kar saka
agar mere sawal ka jawab mil gaya to phir
ye janta hoon k laut kar mere he dil main aao gay
magar ye soch lo zara badal ye Dil gaya to phir?
muhabbat k musafir ko koi rsta nahi daita
ReplyDeletezameen waqif nahi banti falaq saya nahi daita
udasi jis k dil main ho ussi ki neend urti hae
kisi ko apni aakhoon say koi sapna nahi daita
uthana khud he parta hae thaka tota badan apna
k jab tak sans chalti hae koi kandha nahi daita.
Laghzishoon say mavara to bhi nahi main bhi nahi
ReplyDeletedonoon insaan hain Khuda to bhi nahi main bhi nahi
to mujhe aur main tujhe ilzam daite hain magar
apne ander jhankta to bhi nahi main bhi nahi
maslhat nay kar diya donoon main peda ikhtilaf
warna fitrat ka bura to bhi nahi main bhi nahi
mukhtalif simtoon main donoon ka safar jari raha
pal bhar ko thehra to bhi nahi main bhi nahi
chahte donoon bohat ik dosre ko hain magar
ye haqiqat manta to bhi nahi main bhi nahi
ye jo zeest ka safar hae
ReplyDeleteye jo rasta hae mera
tum agar sath na dogay
to ye kis tarha katte ga?
meri soch ki hadoon tak
ye gumaan bhi kaise aae
koi pal bina tumhare
bhala kaise beet jae
mere pass kab nahi ho
meri yaad k safar main
meri shab ki roshni main
meri her dua ka mehvar
bas aik arzo tumhari
is arzo say aagay
koi rasta nahi hae
tumhain kis qadar hae chaha
ye tumhain pata nahi hae.....
abhi wo dard baki hae
ReplyDeleteagarche waqt marham hae
magar kuch waqt lagta hae
kisi ko bhool janay main
dobara dil basanay main
main kaisay nai ulfat main
apni zaat ko gum kar doon
kay mare jism-o-wajdan main
abhi wo fard baki hae
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baki hae
abhi to ishq k rastoon ki
mujh per gard baki hae...
abhi wo dard baki hae........
main udaas rsta hoon sham ka
ReplyDeletemujhe ahatoon ki talash hae
ye sitare hain sub bojhe bojhe
mujhe jugnuon ki talash hae
her khushi hae mujh say khafa khafa
mujhe zindagi ki talash hae
meri piyas main wo talab nahi
mujhe tishnagi ki talash hae
ik hajoom sa hae rawaan dawaan
mujhe dostoon ki talash hae
meri zindagi hae bus ik rasta
mujhe manziloon ki talash hae
na janay kiya hae jo kho gaya
mujhe shayed apni talash hae.
Phir pyar kisay tum kehte ho?
ReplyDeletekhamosh zubaan k lafzoon main
kuch poshida si batain hain
in poshida si batoon main
kuch chahat ki barsatain hain
in batoon ko hum muddat say
seenay main chupa k bethe hain
kuch paye bina kuch kho daina
ye pyar main hum nay sekha hae
soraj main chand sitaroon main
her shay main us ko daikha hae
dharkan main bhi naghma ban kar
saghar ki trha wo behta hae
ye pyar nahi to tum hi kaho
phir pyar kisse tum kehte ho....?
ajnabi si rahoon ka
ReplyDeleteajnabi musafir ik
mujh say poch baitha hae
rasta bata do gay
ajnabi si rahoon k
ajnabi musafir sun
rasta koi bhi ho
wasta koi bhi ho
manzilain nahi milteen
manzilain to dhoka hain
manzilain jo mil jain
justojo nahi rehti
zindagi ko jenay ki
arzo nahi rehti....
mere kahboon k gulshan main khizain raks krti hain
ReplyDeletemere hontoon ki larzish main wafain raks krti hain
mujhe wo lakh tarpae magar us shakhs ki khatir
mere dil k andhairoon main duain raks karti hain
usse kehna k laut aae sulagti sham say pehle
kisi ki khushk aankhoon main sadain raks krti hain.
agar hum daur ho jaein
ReplyDeletekaheen dunya main kho jaein
batao kiya karo gay tum
humain dhodo gay
ya phir bhool jao gay
humain awaz do gay ya
kisi guzri kahani main hamara naam likh do gay
chalo aisa krna tum bhi badal jana
humain tum bhool he jana
magar itni guzarish hae
hamara zikr jab aae
zara sa yaad kar laina
hamara naam lay laina.....
kuch khab hain jin ko likhna hae
ReplyDeletetabeer ki sorat daini hae
kuch log hain ujre dil walay
jinhain apni mohabat daini hae
kuch phool hain jin ko chunna hae
aur haar ki sorat daini hae
kuch neendain apni baki hain
jinhain bantna hae kuch logoon main
aae um-e-rawan ahista chal
abhi khasa qarz chukana hae.
apni yadain apni batain lay kar jana bhool gaya
ReplyDeletejane wala jaldi main tha mil kar jana bhool gaya
mur mur kar daikha tha us ne jate jate rste main
jaise us nay kehna tha kuch jo wo kehna bhool gaya
waqt-e-rukhsat meri aankhain ponch raha tha aanchal se
usko gham tha itna zyada khud wo rona bhool gaya
waqt k behte dhare main kaisi hum nay ghaflat ki thi
main bhi kehna bhool gaya tha wo bhi rukna bhool gaya...
ik taza hiqayat hae
ReplyDeletesun lo to inayat hae
ik shakhs ko dekha tha
taroon ki tarha hum nay
ik shakhs ko samjha tha
pholon ki tarha hum nay
ik shakhs ko chaha tha
apnoon ki tarha hum nay
wo shakhs qayamat tha
kiya us ki karain batain
din us k liye paida
theen us ki subhi ratain
km milna kisi say tha
am say theem mulaqatain
kuch tum say wo milta tha
batoon main shabahat main
haan tum hi sa lagta tha
shokhi main shararat main
lgta bhi tmhi sa tha
dastory mohabbat main
wo shakhs hamain ik din
apnoon ki tarha bhoola
taroon ki tarha dooba
pholon ki tarha tota
phir hath na aaya wo
hm nay to bohat dhonda
tm kis liye chonkay
kb zikr tmhara hae
kb tm say takaza hae
kb tm say shikayat hae
ik taza hiqayat hae
sun lo to inayat hae.
Bara dushwar hota hae
ReplyDeletezara sa faisla kerna
K jeewan ki khani ko
Baiyan-e-bezubani ko
Kahan se yad rakhna hae
Kahan se bhol jana hae
Kise kitna batana hae
kis say kitna chupana hae
Kahan ro ro k hansna hae
Kahan hans hans k rona hae
Kissay awaz daini hae
Kis ko bhool jana hae
Kahan rasta badlna hae
Kahan se lot ana hae
Bara dushwar hota hae.........!
sunno aisa nahi kertay
ReplyDeletesafar tanha nahi kertay
jinhay shafaf rakhna ho
unhay maila nahi kertay
bohat totay huay ghar per
bohat socha nahi kertay
chalo tum raaz ho apna
tumhay afshan nahi kertay
FARZ KARO HUM AHL-E-WAFA HOON
ReplyDeleteFARZ KARO DEWANAY HOON
FARZ KARO YEH DONO BATEIN
JHUTI HOON AFSANAY HOON
FARZ KARO YEH GE KI BEPTA
GE SAY JORE SUNNAI HOO
FARZ KARO ABHI AUR HO ADHI
ADHI HUM NAY CHUPPAI HOO
FARZ KARO TUMHAY KHUSH KERNAY K
DHONDAY HUM NAY BAHANAY HOON
FARZ KARO YEH NAIN TUMHARAY
SUCH MUCH KAY MAIKHANAY HOON
FARZ KARO YEH ROOG HO JHOTA
JHOTI PREET HAMARI HOO
FARZ KARO IS PREET KAY ROOG MAY
SANS BHI HUM PER BHARI HOO
FARZ KARO YEH JOG BAJOG
HUM NAY DHONG RACHAYA HOO
FARZ KARO BUS YEHI HAQEQAT
BAQI SUB KUCH MAYA HOO
Katthin Hae Zindagi kitni..
ReplyDeletesafar dushwaar kitna hae..
Kabhi paon nahi chalte ...
Kabhi rasta nahi milta...
Hamara sath dy paae...
koi aisa nahi milta...
Faqt Aise guzaron to...
ye roz-O-shab nahi kattay..
ye kattay thay kabhi pehlay...
magar haan ab nahi kattay..
magar phir bhi Meray Malik...
koi shikwa nahi tujh say..
main jaan par khel sakta hon..
main har dukh jhel sakta hOn..
Aagr to aaj he karday
Mohabbat Humsafar Meri
Mohabbat Hum Safar Meri
ainay say bhala kaha nisbut
ReplyDeletedil barri khamoshi say toota tha
aik zakhum hai dil ka jo kabhi nahi silta
ReplyDeleteaik silsila hai dil ka jo kahi nahi milta
doob jana tu koi baat nahi hai lakin
ReplyDeletebais-e-sharm hae tofan say harasaan hona
samajh jata hoon may aksar dair say dau paich us k
ReplyDeletewo bazi jeet jata hai meray chalak honay tak
chup hoon tumhara dard-e-mohabbat leya huay
ReplyDeletesub pochtay hain tumnay zamanay say kya liya
tamaam umr saharoon ki aas rehti hae
ReplyDeletetamaam umr saharay faraib detay hain
koi haath bhi na milay ga jo galay miloo gay tapak say
ReplyDeleteyeh naey mezaj ka shahr hai zara faslay say mila karo
ikhlaas kay purdoon may chuppi hoti hain gharzain
ReplyDeleteher aik say na hans kay meray yaar mila ker
toot jate hain bikhar jatay hain
ReplyDeletekanch k ghar hain gharonday apne
ajnabi pyar say milte hain sada
bhool jate hain to aksar apne
Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha
ReplyDeleteKashti K Musafir Nay Samandar Nahin Dekha
Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Parain Ge
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pay Nazar Hae
Ankhoon Ne Kabhi Meel Ka Pather Nahin Dekha
Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain?
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha
Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminain
Jo Choor Dia Phir Usse Mur Kar Nahin Dekha
Khat Aisa Likha Hai K Naginay Se Jarre Hain
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha
Pather Mujhay Kehta Hai Mera Chahne Wala
Main Moum Hoon Usne Mujhe Cho Kar Nahin Dekha
Wo Mere Masail Ko Samajh Hi Nahin Sakta
Jis Nain Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha
Mujhe ghar jane do
ReplyDeleteApne ahsas k sub rang utar jane do
meri umeed mere khab bikhar jane do
apne angan main charaghon ko jalao na abhi
mere angan main siyah raat utar jane do
bari mushkil say mila hae mujhe mere ghar ka pata
rasto ab na uljhao
mujhe ghar jane do
mujhe ghar jane do...
Koi Tum say poochay kaun hoon main?
ReplyDeletetum keh daina koi khas nahi
aik dost hae kacha pakka sa
aik jhoot hae adha sacha sa
jazbaat ko chupayee ik parda
bas aik bahana acha sa
jeevan ka aisa sathi hae
jo daur na ho k pass nahi
koi tum say pochay kaun hoon main
tum keh daina koi khas nahi......
Soch kar chuni hae apne liye akhri aaram gah
ReplyDeletehum thay matti aur hamain matti ka ghar acha laga
manziloon ki baat choro kis nay paeen manzilain
ik safar acha laga ik hum safar acha laga.
hum qissa e parina hain bhool jana he behtar hae,
ReplyDeletejo karo gay yaad to fakat ankhoon main ashk aaingay.
Zindagi k safar main bhi ajeeb lamhat aate hain,
ReplyDeletejinhain chahta hey insan wohi sath chor jate hain.
to nay kaha tha k main kashti pay bojh hoon
ReplyDeleteab aakhain band na kar mujhe dobta bhi daikh.
is daur a tarraqi main sbhi kuch hae muyasar
ReplyDeleteik cheez muhabbat hae so pai nahi jati.
Khate rahe faraib bari sadgi k sath
ReplyDeletehota raha mazaq meri zindagi k sath.
Jane walay ko mat roko k bharam reh jae
ReplyDeletetum pokaro bhi to kab us ko tehr jana hae.
Ye main ye ku-e-dar ye tanhai dosto
ReplyDeletekia tum bhi ban gae ho tamashai dosto.
Chand sunta raha hum sunatay rahe
ReplyDeletedard ki dastaan hum batate rahe
wo sub ki tarha dillagi karte rahe
Hum bhi jan k dhokay khate rahe.
Hum nay dono ko daikha
ReplyDeletedono hi bedard kathor
amber wala dharti wala
pehla chand aur doja chand
chand kisi ka ho nahi sakta
chand kisi ka hota hae?
chand ki khatir zid nahi karte
mere achay Insha Chand.
Insha g dunya waloon main bay sathi bay dost rahe
ReplyDeletejaise taroon k jhurmat main tanha chand akaila chand.
Kat kar badan to ghair k aangan main ja gira
ReplyDeletelakin ana k zor say sir peche reh gaya.
Hanstay hain hum muskuratay hain hum
ReplyDeleteander hi ander dukh chupate hain hum
jald dunya say daur chalay jaingay
mat bolana hamain hum nahi aaingay.
Yehi arzo rahi umr bhar k mohabatain mere sath hoon
ReplyDeletekabhi aisa ishq kiya nahi k nadamatain mere sath hoon
kabhi aisa lafz likha nahi k ho sharamsar qalam
koi aisa jurm nahi kiya k wazahatain mere sath hoon
faqat aik shakhs ki arzo main guzar rahi hae ye zindagi
ye talab nahi k tamam shehar ki chahatain mere sath hoon.
ae dil na qubool kinaroon ki zindagi
ReplyDeletetauheen e zindagi hae saharoon ki zindagi.
tamam araam hashr o nashr say begana ho jae
ReplyDeletebara hoshiar hae insaan agar deewana ho jae.
-----------------------------------------------
Raaste ek safar chahte thay
musafir hamsafar chahtay thay
jaisay chahti hae chandni chand ko
hum bhi is qadar kissi ko chahte thay.
-----------------------------------------------
Azal say rach gai hae sirbulandi apni fitrat main
hamain bus totna aata hae jhuk jana nahi aata.
-----------------------------------------------
tum bhi khafa ho log bhi barham hain dosto
ab ho chala yaqeen k buray hum hain dosto.
-----------------------------------------------
Ajeeb shahkhs tha kaisa mizaj rakhata tha,
sath reh kar bhi ikhtilaf rakhta tha,
main kiyun na dad doon us k fun ki,
meray her sawal ka pehlay he jawab rakhta tha.
-----------------------------------------------
Ana ki jang main hm jeet to gye lekin
phir us k baad bohat dair tak nidhal rahay.
-----------------------------------------------
khuabon ki tarha tha na khayalon ki tarha tha
wo ilm-e-riazi k sawalon ki tarhan tha
uljha hua aise k sulajh he nahi paya
suljha hua aise k misalon ki tarha tha
may kyun na turk-e-talluk ki ibtayda kerta
ReplyDeletewo dosre dais ka basi tha kya wafa kerta
-----------------------------------------------
to katib-e taqdir say israr to karta
shayed wo tere hath pay likh daita mera naam.
-----------------------------------------------
Main apni sansoon ki fursatoon main
tujhe manaoon to maan jana
agar kisi din main apne ansu
jo lay k aaon to maan jana
to agar khush nahi hae meri baka per
tu itna jaan ja teri khushi k liye
jo sooli pay muskuraoon to maan jana
tu bad gumaan hay meri wafa per
to sirf ik bar azma lay
jo har jaoon to laut jana
jo jeet jaoon to maan jana..
-----------------------------------------------
Qurb na wafa k hotay hain
saray jhagray ana k hotay hain
wo hamara hae is tarha say Faiz
jaisay banday khuda k hotay hain
baat niyat ki hey sirf warna
waqt saray dua k hotay hain
bhool jatay hain mat bura kehna
log putlay khata k hotay hain
wo bazahir jo kuch nahi lagtay
un say rishtay bla k hotay hain.
-----------------------------------------------
meray bay rabt khayalat main kya rakha hae
main to pagal hoon meri baat main kiya rakha hae
baandh rakha hae kisi ki yaad nay mazi say mujhe
warna guzray huay lamhat main kiya rakha hae
wo mila tha to ye ehsas hua tha mujh ko
wo alag ho to meri zaat main kiya rakha hae
-----------------------------------------------
ho raat akaili pichlay peher
aur chand gagan main ajaye
tum chand ki manind tanha ho
ye baat tumhain tarpa jae
kuch khab saja k palkoon pay
tum chand say batain kar laina
hum yaad tumheen ko kartay hain
tum yaad hameen ko kar laina
kuch baat na ho jab aisay he
num aakh tumhari ho jae
tum baat kaheen per kartay ho
dil aur kaheen per kho jae
jazbaat k aisay alam main
muskaan laboon per bhar laina
hum yaad tumheen ko kartay hain
tum yaad humain bhi kar laina.
Ek manoos si awaz pay chalta hoon magar dil ye kehta hay thehr
ReplyDeletephir koi dhoka hoga
waqt qatil hay to rehnay do meray sath issay yehi qatil mere
zakhmoon ka masiha ho ga
jis main roshan na ho ehsas-e-mohabbat ka chiragh
dil na kahiye ussay wo
aqal ka sehra ho ga
koi daawa na karay apni wafadari ka
shama jalti hae to parwana bhi jalta hoga
hum say wabista hae tareekh saleeboon ki Raes
hum jahan tehrain zamanay ko theherna ho ga
-----------------------------------------------
tujhe kia khabar teri yaad nain
mujhe kaisay kaisay sata diya
kabhi mehfiloon main rula diya
kabhi khalwatoon main hansa diya
kabhi yun hua k teri yaad main
namaz apni qaza hui
kabhi yun hua k teri yaad nay
mujhe mere Rab say mila diya
-----------------------------------------------
Tum bhi auroon ki tarha saza do hum ko
qissa-e-parina samajh kr bhula do hum ko
aadi hain hum zakhm khanay k
tum ik naya zakhm laga do hum ko
likho naam hamara dil ki zameen per
aur phir khak main mila do hum ko.
-----------------------------------------------
ana ki qaid say niklay moqabla to kare
wo mera sath nibahnay ka hosla to kare
kabhi na totne wala hisar ban jao
wo meri zat main rehne ka tazkara to kare
usse he sonp doon apni yeh muntazir ankhain
wo meri khoj main jane ka faisla to kare
-----------------------------------------------
Ab k us ki aankhoon main
bay sabab udasi thi
ab k us k chehray pay
dukh tha bay hawasi thi
ab k yun mila mujh say
main nashinasa hoon
wo bhi ajnabi jaisay
zard khal-o-khad uskay
sogwar daman tha
ab k us k lehjay main
kitna khurdara pan tha
wo k umr bhar jisnay
shehr bhar k logoon say
mujh ko hum sukhan jana
azal say aashna likha
khud say mehrbaan samjha
mujh ko dilruba likha
ab k sada kaghaz per
surkh roshnai say
us nay talkh lehjay main
mere naam say pehlay
sirf "bewafa" likha.
-----------------------------------------------
Badla wafa ka dainge bari sadgi say hum
tum hum say roth jao ge to zindagi say hum
-----------------------------------------------
Na main pas usko bula saka
na main dil ki baat bata saka
wo hansi hansi main he chal diya
k main hath tak na hila saka
yunhi sochta raha daur tak
magar us ko kuch na bata saka
ye maqam he tha ajeeb sa
k main khud ko bhi na bacha saka
wo juda bhi kaise hua k main
koi rasm tak na nibha saka
-----------------------------------------------
Palat kar aankh num karna mujhe hergiz nahi aata
gae lamhoon ka gham karna mujhe hargiz nahi aata
mohabbat ho to behad ho jo nafrat ho to bhi bay payan
koi bhi kaam kum karna mujhe hargiz nahi aata
-----------------------------------------------
Kabhi drakhton ki chaon main
socho mujhe sard c aahon main
ankhon say jab mera intzar bhao gay
main yaad aaonga
jitna bhi mujhko bhulao gay
main yaad aaonga
jitna bhi daur tm jao gay...
jao jo sapno k safar main
jago gay mehki c sahar main
kuch kehte kehte jo tm kho jao gay
yaad aaonga
main yaad aaonga
jab tanha rahoon pay jao gay
main yaad aaonga
jitne qadam tm uthao gay
main yaad aaonga
mun pukare tujhe sun
chupi hae tere dil main aisi koi dhun
chupke say jo sirgoshi ho
jago to khamoshi ho
na ho ga koi pass
ik ho gi aas
yad aaigi wo bat
tha wo jo koi sath
main yaad aaonga
jab dil say tm muskorao gay
main yaad aaonga
jo yaad aaon to
ashk kaise phir rok paogay
main yaad aaonga
haan
main yaad aaonga........
-----------------------------------------------
Sath chalne walay jab
sath chorh jatay hain
waqt tham nahi jata
koi mar nahi jata
koi mar bhi jae to
zindagi nahi rukti
rastoon ko chalna hae
rastay to chaltay hain
log miltay rehtay hain
zakhm siltay rehtay hain
grd grd lamhoon main
umr kat he jati hey
kuch musafiroon ko bus
Manzilain nahi milteen...
do char baras ka qissa
ReplyDeletejb maine us ko dekha tha
wo chehra janay kiyun mujhko
kuch apna apna lagta tha
wo jado tha un aankhoon main
main uljha uljha rehne laga
madhosh kiya yun khaboon nay
hr shahks he pagal kehne laga
main us say dil ki baat kahoon
ye lamha bhi daur na tha
sub college main ye baat urri
main go itna mashoor na tha
her koi jagha jagha ye kehta tha
ye us larki pay marta hae
aur us say milne ki khatir
her roz bahane karta hae
ik roz maine sham dhalay
us jan-e-ghazal ko rok liya
rok k apni sansoon ko
izhar kiya iqrar kiya
ye pyar ki batain sun k wo
kuch dair tak khamosh rahi
uljha dia hath main pallo ko
sharmai aur ghabra gai
phir dheeray say boli wo
tum kesi batain krtay ho
main to aam c bus ik larki hoon
tm kahay ko dukh sehtay ho
main holay say nazdeek hua
us k hath pay apna hath rakha
khamosh fiza k jado main
main holay say yun bola tha
her dukh tmhari khatir ab
main hans kar ganwara kar loon ga
tm pyar k gar iqrar karo
main kantoon pay guzara kar loon ga
wo hans kar booli daikhain gay
main samjha chahat jeet gai
main nadaan tha mujhe maloom na tha
is jag say pyar ki reet gai
ik roz maine kisi say suna
wo jo chahat ki ik dewi thi
zar walay us ko jeet gae
ye manzil garchay khab hui
hasil ye bhi kuch kum to nahi
main ab bhi ik musafir hoon
main us say bichar kr shair hoon...
-----------------------------------------------
wo kitne itminan say thukra gaya mujhe
aanso bana k aankh say tapka gaya mujhe
kesi rehbari thi ye kaisa faraib tha
manzil dikha k rah say bhatka gaya mujhe
khamosh nigahoon say kahani suna gaya
lafzoon k hair phair main atka gaya mujhe
mujhko bhi bachpanay ka ik mazak samajh kar
choti c ik hansi main urra gaya mujhe
do din main us k dil say mohabbat utar gai
aur do he din main yaad say mita gaya mujhe
-----------------------------------------------
Hath ki lakeeron main kiya talash karte ho,
in fazool batoon main kis liye ulajhtay ho,
jis ko milna hota hae bin lakeer dekhay he,
zindagi k rasoon per sath sath chalta hae,
phir kahan bicharta hae jo nahi muqadar main,
kab hamain wo milta hae kab wo sath chalta hae,
hath ki lakeroon main kiya talash karte ho???
-----------------------------------------------
Rakhe khuda ne do raste mujhe azmane ke liye,
wo chor de mujhe ya main chor doon usey zamane ke liye,
kesey mang loon RAB se usey bhool janey ki dua,
hath uthe nahi hain dua men usey bhool janey ke liye,
nahi ki zindagi mai maine koi bhi naiki,
par parhi hain chup ke kuch NAMAZAIN usey pane ke liye.
-----------------------------------------------
wo dil ki batain zamanay bhar ko na yun sunata
mujhe batata
wo ik dafa to meri mohabbat ko azmata
mujhe batata
zamanay walon ko kia pari hae sunain jo haal-e-dil-e-shikasta
magar meri to ye arzo thi mujhe bulata
mujhe batata
mujhe khabar hae k chupkay chupkay andharay us ko nigal rahay hain
main us ki ratoon main apnay dil ka diya jalata
mujhe batata
sitam kiya hae us nay jo shehr chora hae khamoshi say
main us ki khatir ye sari duya bhi chor jata
mujhe batata
mujhe batata...
-----------------------------------------------
Chalo ik nazm likhtay hain
kisi k naam likhtay hain
magar ye sochna hae k
ab is main zikr kis ka ho
k is main baat kis ki ho
k is main zaat kis ki ho
aur ye bhi farz kartay hain
k jis pay nazm likhtay hain
humain us say mohabbat hae
humaray saray jazboon ko
bus us ki he zaroorat hae
chalo ik kaam kartay hain
k hum jo nazm likhtay hain
tumharay naam kartay hain
tumhi unwaan ho is ka
tumhara zikr hae is main
tumhari baat hae is main
tumhari zaat hae is main
-----------------------------------------------
Phir aisa karna k is nazm ko bay unwaan likhna
janti ho kiyun?
kiyun k wo zaat kaheen kho gai
wo baat kahtam ho gai
muhabat har gai dunya ki rasmoon say
jazbay sard ho gae zamanay ki qasmoon say
so
jo likhna to ussay bay unwaan likhna
bay naam likhna bay naam-o-nishaan likhna....
-----------------------------------------------
ik umar ho chuki usay badlay huay magar
is zindagi say us ka hawala nahi gaya
us nay kaha to us ki tammana bhi chor di
uski kisi bhi baat ko tala nahi gaya
-----------------------------------------------
kal raat janay kiya hua kuch dair pehlay neend say
kuch ashk milnay aa gae
kuch khab bhi totay huay
kuch log bhi bholay huay
kuch gard main lipti hui
kuch bay panah pheli hui
kuch khol main simti hui
bay rabt sochain liye
bhuli hui batain liye
ik shakhs ki yadain liye
phir dair tak jaga kiye
sochon main gum baithay rahay
ungli say thanday farsh per
ik naam bus likhtay rahay
kal raat bhi wo raat thi
kuch dair pehlay neend say
hum dair tak rotay rahay
-----------------------------------------------
bullay shah us naal yari kadi na layo
jisno apny tay gharoor hovay
maan bap no bura na akhiyu
bhavan lakh una da qasoor hovay
buray rastay kadi na jayo
chahay kini vi manzil daur hovay
raah janday nu dil kadi na dayvo
chahay lakh maun tay noor hovay
mohabat sirf uthay karyo
jithay piyar nibhan da dastoor hovay
-----------------------------------------------
Is shab k muqadar main sehr nahi Mohsin
daikha hae kaeen baar chiraghoon ko bhuja k
-----------------------------------------------
kitnay hamdard milay, dost milay yaar milay
sub ubhartay huay soraj k paristar milay
zindagi to mujhe bazar main lay he aai
main to Yousaf bhi nahi k koi kharidar milay
-----------------------------------------------
zindagi k din kaisay bhi hoon guzar jaingay
ik din hum bhi chupkay say mar jaingay
aaj rehtay hain kisi k dil main yaad ban kar
kal aanso ban kar ankhoon say nikal jaingay
-----------------------------------------------
din raat sulagnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae
hum aap bikharnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae
kiya apni tumko batlain kiya haal hamara hota hae
hum tanha ronain lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae
ye sansain bhi tham jati hain ye dharkan bhi ruk jati hae
hum jenay marnay lagtay hain jab yaad kisi ki aati hae
-----------------------------------------------
uski aankhoon main koi dukh basa hae shayed
ya mujhe koi wahm hua hae shayed
mainay pocha k bhool gae ho tm bhi mujhe
ponch k aanso us nay kaha!!
shayed....
Rastay ik safar chahtay thay
ReplyDeletemusafir humsafar chahtay thay
chahti hae jaisay chandni chand ko
hum bhi kisi ko is qadar chahtay thay
-----------------------------------------------
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jisay Chahtey Thay Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroon K Tumhain Dhondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Dondney Ki Bhi Mohlat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Raha K Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi magar
Afsoos K Tujh Se apni Aadat Nahi Mili
-----------------------------------------------
Rafaqatoon k silsilay na toot jain kaheen,
kabhi kabhi milnay ka silsila rakhna,
mana aur log bhi hain qareeb tairay,
magar
meri zaat ko auroon say juda rakhna.
-----------------------------------------------
Toot kar chaha jissay wo laut kar aaya nahi,
meray dil ko uskay siwa aur koi bhaya nahi,
pyar ki sodagri main hum barabar he rahay,
us nay kuch khoya nahi hum nay kuch paya nahi.
-----------------------------------------------
Hasti ko muhabbat main fana kaun karay ga?
ye farz siwa meray ada kaun karay ga,
hathoon ki lakeeron ko zara daikh najomi,
ye daikh meray sath wafa kaun karay ga?
-----------------------------------------------
Aarzo-e-safar ka jab hum nay irada kiya tha,
sath chalnay ka us nay bhi wada kiya tha,
kuch us ko raas na aain waday ki sadaqatain,
kuch aaitbar humnay bhi ziada kiya tha.
-----------------------------------------------
Sehra ka aik drakht tha tanhaiyun main gum,
Aisay na apni zaat main khoya karay koi.
-----------------------------------------------
Hzar zakhm chupa k wo apnay seenay main,
khushi k phool zamanay main bantta he raha.
-----------------------------------------------
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Manderon se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
Ye acha hay ke aapas Kay bharam na tootne paey
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag main zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat baatein bana kar kuch nahi milta
Mujhey aksar sitaron se ye awaz aati hay
Kisi ke hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggar ho jaega chalni ye ankhein khoon roengi
Ae dil befaiz logon se nibah kar kuch nahi milta
-----------------------------------------------
hum bhi hansty rahty hain
tum bhi hansty rahty hoo
ghum diloon main palty hain
aur pata nahi chalta
kitny hi zamanoon se
kitny ho makanoon main
roshni nahi hoti
aur pata nahi chalta
tum bin jii na paain gy
akser yah kahty rahty thy
tum bin bhi jeety rahty hain
aur pata nahi chalta
-----------------------------------------------
Bina Ik Lafz Boly...
bazahir aam lehjay main
kaha tha main ne jab us se
"badal lo raasta apna
juda rahain yaheen karlo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif
raston ke raahi hain
to phir kion dil ki manain hum
shuru main manti hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzray ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga"
meray is aam se lehjay pe wo
ik pal ko chonka tha
meri aankhon main aankhain daal kar
hairat se poocha tha
"ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"
bohat hi jee karda kar ke
main us dam muskuraii thi
bohat khud pe jabar kar ke
main us se keh ye payi thi
"meri tum fikr rehnay do
sambhal jaoon gi main khud hi
sabhi zakhmon ko sii loon gi
bhula kar sari batoon ko
akaili bhi main jee loon gi"
buhat hi be yaqeen aakhoon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
aur ab tark_e_taalluq ko
agarche umar beeti hai
magar is dil pe us ki zaat ka
jo naqsh qaaim tha
kabhi dhundla nahi hota
mujhay mehsoos hota hai
ke jaisay meray kanoon main
wo apni bolti aankhoon se
sargoshi si karta hai
"WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?"
-----------------------------------------------
Mujhay yaad koi dua nahi,
Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Abhi rasta bhi hai dhool main,
abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Main janam janam say naraz hoon,
main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Tu hai khawab khawab pukarta,
meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Tujhay khushboon ki hai arzoo,
tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Tujhay ansoon ko pata nahi,
tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Kaheen choot sakta hai darmiyaan,
na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra'asatoon ka pata nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Mujhay dhondta he phiray ga tu,
na jiye ga, roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi,
meray hum safar abhi soach lay
Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan,
mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi,
meray hum safar abhi soach lay!!!!
-----------------------------------------------
Na chahat k jazbat alag
na khushiyun k lamhat alag
na phool c thi mehkaar alag
na guzri koi bahar alag
na hontoon ki muskan alag
na dil k ehd o pemaan alag
na deen alag na emaan alag
na sur sangeet naghmat alag
thi sari baat lakeroon ki
tere hath alag mere hath alag....
-----------------------------------------------
Pal pal tarastay thay us pal k liye
wo pal aaya bhi to kuch pal k liye
socha tha usay zindagi ka ik haseen pal bana daingay
per wo pal tha bhi to kuch pal k liye
-----------------------------------------------
chalo tm theek kehtay ho
mohabbat aur siyasat main
sabhi atwaar jaiz hain
chalo hum maan laitay hain
magar ye jang kaisi hae?
tum he mere muqabil ho
chalo hum jeet ki khwahish
tumhi pay waar daitay hain
dhanak k pull pe chal k hum
gagan k paar jatay hain
chalo hum haar jatay hain
-----------------------------------------------
wo kum sukhan
wo kaj adaa
wo bewafa
acha laga...
jab bhi mila
rutha huwa
jab bhi mila
acha laga...
wo zulm pay
mayel bohat
wo jabr ka
qayel bohat
us ka sitam
her ik sitam
mujh ko sada
acha laga
tum pyar k
qabil nahi
tum pyar k
layeq nahi
us na kaha
hum nay suna
acha laga...
-----------------------------------------------
tabasam sa
saja kar ye
kaha pagal
dewaane nay...
zamana saz
logon ko
kahan samjha
zamanay nay....
meri saansain
meri dharkan
mera dil bhi
nahin mera....
amanat kar lia
ye sub kuch ik
begaane ne....
humain ab
muskurane say
ajab "vehshat"
c hoti hae....
humain
aisa rulaya hae
hamaray
muskuranay nay...!
Ik raat hui barsat bohat
ReplyDeletemain roya sari raat bohat
her gham tha zamanay ka lakin
main tanha tha us raat bohat
phir aankh say ik sawan barsa
jab sehar hui khayal aaya
wo badal kitna tanha tha
jo barsa sari raat bohat
-----------------------------------------------
zindagi ka her raaz tanhai main pa liya
jis ka bhi gham mila apna bana liya
gham humara sunne ko jab koi na mila
to rakha aaina samnay aur khud he ko suna liya
-----------------------------------------------
is nae zamanay k aadmi adhoray hain
sortain to milti hain seratain nahi milteen
-----------------------------------------------
garm aanso aur thandi aahain
mun main kia kia mausam hain
is bagya k bhaid na kholo
sair karo khamosh raho
aanghain moond kinara baitho
mun k rakho band kwar
insha g lo dhaga lay lo
lab c lo khamosh raho
-----------------------------------------------
nahi wo shakhs muqadar main phir b us se miltay hain
bara pur lutf lagta hae muqadar ko saza daina
-----------------------------------------------
mujh say bichar kar banam ho jao gay
sodagroon k hathoon nelaam ho jao gay
mujh ko acha nahi lagta her ik say milna
her kisi say milo gay to aam ho jao gay
-----------------------------------------------
ek pal baghair dekhay ussay yun guzar gaya
aisa laga ik zamana guzar gaya
us k liye buland raha hath umr bhar
apnay liye duaoon ka lamha guzar gaya
-----------------------------------------------
wafa ka ehd jo tm nay kia wo torh mat daina
suno halat kuch bhi hoon hamain chor mat daina
hamaray pass reh jae faqat yadoon ka sarmaya
muhabbat ki kahani ko tum aisa morh mat daina
-----------------------------------------------
ab agar krna to kisi aisay ki chahat krna
jisko aata he na shikwa shikayat krna
pehlaykhusbo k mizajoon ko parakh lo Faiz
phir gulistan k kisi gul say muhabbat karna
-----------------------------------------------
Mohabbat ka bhi hae mausam say ta'aluk kitna
rut badalti hae to sub log badal jatay hain
-----------------------------------------------
mujhe jo kuch bhi likhna tha
abhi main likh nahi paya
meri tahreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya
abhi wo dard likhna hai
jo anso khoon ke laye
abhi ruswai likhni hai
jo humra Sang bhi laye
abhi wo neend likhni hai
jo sulli per bhi na aye
abhi wo shaam likhni hai
jise koi chura laye
abhi wo shokhi likhni hai
gulabi gaal ker jaye
abhi 2 pal bhi likhny hain
jo tere sang thy bettaye
abhi wo loog likhny hain
jo mujh ko kho ke pachtaye
abhi wo shakhas likhna hai
jo mujh ko khooj ke laye
mujhe wo sab hi likha hai
jo tum se kah nahi paye
mujhe wo sab hi likha hai
jo koi seh nahi paye
mujhe wo sab hi likhna hai
keh teri ankh bher aye
batao kya likhain phir hum
jo tere mann ko bhaa jaye
chalo kuch bhi nahi likhty
kah tera bherm rah jaye
-----------------------------------------------
mere hathoon ki lakeeron main ye aaib hae Mohsin
main jis shakhs ko cho loon wo mera nahi rehta
-----------------------------------------------
POOCHANEY WALEY
TUJHE KAISEY BATAIEN AAKHIR ?
DUKH EBARAT TU NAHIN JO TUJHE LIKH KAR BHAJEIN
YE KAHANI BHI NAHIN HAI KE SUNAYEIN TUJH KO
NA KOI BAAT HI AISI KE BATAEIN TUJH KO
ZAKHAM HO TU TERE NAKHUN KE HAWALEY KAR DEIN
AAINA BHI NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO
TU NE POOCHA HAI MAGAR KAISEY BATAIEN TUJH KO
YE KOI RAAZ NAHIN , JIS KO CHUPAYEN TU WO RAAZ
KABHI CHEHRE , KABHI AANKHON SE CHALAK JATA HAI
JAISEY AANCHAL KO SANBHALEY KOI , AUR TEZ HAWA
JAB BHI CHALTI HAI TU SHANOON SE DHALAK JATA HAI
AB TUJHEY KAISEY BATAYEN KE HAMEIN KAYA DUKH HAI ?
JISM MEIN REENGATI HAI MUSAFIT KI THAKAN
PHIR BHI KANDHON PE UTHAEY HUEY HALAT KA BHOJ
APNE QADMON SE HATATE HUEY SAYA APNA
JIS KO BHI DEKHIYE WO CHUP CHAP CHALA JATA HAI
KABHI KHUD SE KABHI RASTON SE ULJHATA HAI MAGAR
JANEY WALA KISI AWAZ PE RUKATA HI NAHIN
DHOONDTA HAI NAYA PERAYA - E - IZHAAR HAMEIN
ISTA-AROON KI ZUBAN KOI SAMJHATA HI NAHIN
TU SAMJHTA HAI KE KHUSHBOO SE MUATAR HAI HAYAT
TU NE CHAKHA HI NAHIN ZEHAR KISI MAUSAM KA
TUJH PE GUZRA HI NAHIN RAQS - E - JANOON KA ALAM
AISA AALAM , JAHAN SADIYUN KE TAHYEIRKA NASHA
HAR BICHADTI HUI SA-AT SE GALEY MILTA HAI
IS TAMASHEY KA B ZAHIR TU NAHIN KOI SABAB
SIRF MEHSOOS KARO GE TU PATA CHALTA HAI
BE - KHABAR REHNA KISI BAAT SE ACHA HI NAHIN
TU KABHI WAQAT KI DEHLEEZ PE THEHRA HI NAHIN
TU NE DEKHEY HI NAHIN HALQA - E - AMROZ KE RANG
GARMI - E - WADA - E - FARDA SE PIGHALTEY HUE LOOG
APNEY HI KHAWAB KI TABEER MEIN JALTEY HUEY LOOG
AMAN KE NAAM PE BAROOD BHARI DUNIYA MEIN
ROOZ JEETEY HUEY ROOZ HI MARTEY HUEY LOOG
ZINDAGI FILM NAHIN HAI KE DIKHAYEIN TUJH KO
TU NE POOCHA HAI MAGAR KAIE BATAEIN TUJH KO ?
POOCHANEY WALEY TUJHEY KAISEY BATAEIN AAKHIR ?
DUKH EBAARAT TU NAHIN HAI JO LIKH KAR BHEJEIN
DUKH TU MEHSOOS HUA KARTA HAI
CHAHEY TERA HO KE MERA DUKH HO
AADMI WO HAI JISEY JEETEY JI
SIRF APNA HI NAHIN SAB KA DUKH HO
CHAAK HO JAYE JO IK BAAR HAWAS KE HATHON
JAMA - E - ISHQ DOOBARA TU NAHIN SILTA HAI
AASMAN MERI ZAMEENON PE JHUKA TU HAI LAKIN
TERA AUR MERA SITARA HI NAHIN MILTA HAI
-----------------------------------------------
Tumhara naam likh likh ker mitana bhul jata hun,
tumhe jab yaad kerta hun..bhulana bhul jaata hun,
buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain,
magar jab tumse milta hun..sunana bhul jaata hun,
tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai,
may aksar tumko khwabun may..batana bhul jaata hun,
may har shaam kehta hun k tumko bhul jaunga,
magar jab subha huti hai..to bhulana bhul jaata hun........
-----------------------------------------------
unko namoos bhi izzat bhi pazirai bhi,
mujhko roonay ko muyassar nahi tanhai bhi,
apnay he haal pay hansna kabhi hans k rona,
main bayak waqt tamasha bhi tamashai bhi.
-----------------------------------------------
kisi ko apnay amaal ka hisab kiya daitay,
sawal saray ghalat thay jawab kiya daitay,
jo ik lafz ki khusbo ko na rakh saka mehfooz,
us k hath main sari kitab kiya daitay
-----------------------------------------------
nadaan dostoon say nahi kuch gila mujhe,
barbaad kar gaya mera zoaq-e-wafa mujhe,
jin dostoon nay haal na poocha tamam umr,
rahi aaj tak unhi say umeed-a-wafa mujhe
-----------------------------------------------
bikhar gae meri zindagi k tamam warq,
na janay kab koi aandhi ura k lay jae,
main kab talak dosroon k dukh sambhal k rakhoon,
jis jis k hain nishani bata k lay jae
-----------------------------------------------
Dard ki shidat say sharminda nahi meri wafa,
dost gehray thay to zakhm bhi gehray lagay
-----------------------------------------------
meray hathoon ki lakeroon main ye aib hae Mohsin,
main jis shahks ko cho loon wo mera nahi rehta
-----------------------------------------------
umeed ban k log zindagi main aatay hain,
khab ban k ankhoon main sama jatay hain,
pehlay yaqeen dilatay hain wo hamaray hain,
phir najanay kiyun tanha chor jatay hain
-----------------------------------------------
Hum her roz udaas hotay hain
aur
sham guzar jati hae
kisi roz sham udaas ho gi
aur
hum guzar jain gay
-----------------------------------------------
wo baat baat pay daita hae mujhe parindoon ki misaal,
saaf saaf nahi kehta k mera shehr chorh do
-----------------------------------------------
yehi wafa ka sila hae to koi baat nahi,
ye dard tum nay diya hae to koi baat nahi,
itna bohat hae k tum daikhtay ho sahil say,
safina doob raha hae to koi baat nahi,
ye mere bus main kahaan k tujhe bhool sakoon,
to mujh ko bhool chuka hae to koi baat nahi
-----------------------------------------------
hujum-e-gham meri fitrat badal nahi saktay,
kiya karoon k mujhe aadat hae muskurane ki
-----------------------------------------------
Qudrat k faisloon ka bhi lazim hae ehtaraam,
warna main chahta tha meray sath to rahay
-----------------------------------------------
gaya zamana bohat suhana,
jo yaad aaye to laut aana,
wo ankhoon ankhoon main baat karna,
wo batoon batoon main raat karna,
hansi chupanay ko lab k aagay,
haseen komal say hath karna,
kabhi hansana kabhi rulana,
jo yaad aae to laut aana,
hamain tumhari he justuju hae,
tumhari he chahat ki aarzo hae,
ye baat tum bhi kabhi to samjho,
humari chup main bhi guftugu hae,
samajh sako to hamain batana,
jo yaad aaon to laut aana........
-----------------------------------------------
diwangi say kam na thi kuch apni justuju,
hum bewafa jahaan main wafa dhondtay rahay,
mehromiyun k daur main kin hasratoon k sath,
pathroon k dil main khuda dhondtay rahay
Barishoon k mausam main,
ReplyDeletetum ko yaad karnay ki,
aadatain purani hain,
ab ki baar socha k,
aadatain badal dalain,
phir khayal aaya k,
aadatain badalnay say,
barishain nahi rukteen
-----------------------------------------------
aitbar totay to,
wo bhi aisay logoon per,
jin ko apna hum jain,
jab bhi gham say bojhal hoon,
unko mehrabaan manain,
aitbar totay to,
aisay zakhm miltay hain,
jo kabhi nahi bhartay
-----------------------------------------------
yun rah-a-wafa ki saleeb per,
tere do qadam uthanay ka shukria,
bara pur khatar tha ye rasta,
tere laut janay ka shukria,
jinhain bojh lagti hae zindagi,
sir-e-bazm unko daikh kar,
tere muskuranay ka shukria,
jo usool tha zamanay bhar ka,
wo usool tonay nibha dia,
yehi rasm tehri mautabar,
mujhe bhool janay ka shukria
-----------------------------------------------
bana gulab to kanta chubha gaya ik shakhs,
howa charagh to ghar he jala gaya ik shakhs,
tamam rang mere aur saray khab mere,
fasana tha k fasana bana gaya ik shakhs,
palat sakoon na main agay he barh sakoon,
mujhe ye kaun say rastay laga gaya ik shakhs,
khula ye raaz k aaina khana hae dunya,
aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
-----------------------------------------------
wo bhi raha baigana,
hum nay bhi na pehchana,
haan ae dil-e-dewana,
apna ho to aisa ho
-----------------------------------------------
mere senay main utar kar aziyatain,
woh pochtay hain tumhari ankhoon ko kiya hua
-----------------------------------------------
mere yaar bhi dewaar samajhtay hain mujhe,
main samajhta tha mere yaar samajhtay hain mujhe
-----------------------------------------------
Ye aur baat hae k us ki bandagi nahi hoti
lakin usay bhol kar zindagi basar nahi hoti
ye keh do her aik fard-e-shehr ko
kisi ko chahtay rehna awargi nahi hoti
-----------------------------------------------
bhula saktay to kab ka bhula diya hota
mita saktay to kab ka mita diya hota
tumhain kia pata kitna dard daiti hain uski yadain
bata saktay to kab ka bata diya hota
-----------------------------------------------
ik shakhs mujh ko zakhm-e-judai day gaya
jab day saka na pyar to ruswai day gaya
jatay huay wo apni nishani k tor pay
kitnay kholos say mujhe tanhai day gaya
-----------------------------------------------
Hamari aur us ki zindagi main faqat tarteeb ka farq hae Faraz
uski zindagi main hum sub k baad aatay hain
aur
hamari zindagi main sub us k baad aatay hain
-----------------------------------------------
yar nay dil ka haal batana chor diya
hum nay bhi gehrai main jana chor diya
jab usse he ehsas nahi dori ka
hum nay bhi ehsas dilana chor diya
-----------------------------------------------
hum say pocho kiya hota hae pal pal bitana
bohat mushkil hota hae dil ko samjhana
ye zindagi to beet he jati hae
bus mushkil hota hae kuch lamhoon ko bhulana
-----------------------------------------------
unglian aaj bhi ishi soch main gum hain Faraz
us nay kaisay nae hath ko thama hoga
-----------------------------------------------
kuch is liye bhi tum say mohabbat hae mujhko
mera to koi nahi hae tumhara to koi ho
-----------------------------------------------
tujh ko dunya say fursat milay to tujh say pochoon
yaad bhi atay hain tujhe dost puranay walay
ik to hae jisse bhool na pae hum
warna andaz to atay hain humain bhi zamanay walay
-----------------------------------------------
koi to hota!
main jis k dil ki kitab banta
main jiski chahat ka khab banta
main hijr k mausam ki lambi ratoon main
yaad ban kar azab banta
koi to hota
jo meri khwaish main khob rota
dukhoon ki chadar lapait kar
jujoom-e-dunya say door hota
main roth jata manata mujh ko
chahe mera qosoor hota
koi to hota
main jis k itnay qareeb hota
na pass koi raqeeb hota
main tanha us ka habib hota
ye silsila bhi ajeeb hota
koi to hota!!!!!!
-----------------------------------------------
mujrim bhi tha Mohsin bhi mera lagta tha
dast-e-qatil bhi mujhe dast-e-hina lagta tha
aray daikhnay walay to usay daikhtay he reh jatay thay
haan wo shahks mohabbat ka khudda lagta tha
kantoon bhari shakh nazar aata tha kabi
phool lagta tha kabhi baad-e-saba lagta tha
ab logoon say pochta phirta hae meray ghar ka pata
main jisay saray zamanay say bura lagta tha
uski batain theen riwayat say rat kar Mohsin
sub main rehta tha magar sub say juda lagta tha
-----------------------------------------------
Us nay aanchal say nikali meri gumshuda kitab
aur chupkay say mohabbat ka warq morh diya
hamain maloom tha anjaam-e-mohabbat
humnay akhri hurf say pehlay he qalam tor diya
-----------------------------------------------
zara zindagi hae armaan bohat hain
hamdard nahi koi insan bohat hain
dil k dard sunain to sunain kis ko
jo dil k qareeb hain wo anjaan bohat hain
-----------------------------------------------
mera lafz lafz dua dua
meray ansoon say dhula hua
tujhe zindagi ki seher milay
tujhe aainon ka safar milay
ye dua hae meray humnasheen
mujhe tujh say koi gila nahi
tujhe zindagi main wo sukoon milay
jo mujhe kabhi mila nahi
-----------------------------------------------
wafa ruswa nahi karna
kabhi aisa nahi karna
main pehlay he akaila hoon
mujhe tanha nahi karna
judai bhi jo aae to
dil maila nahi karna
bohat masroof ho jana
mujhe socha nahi karna
bharosa bhi zarori hae
magar sub ka nahi karna
jo likha hae wohi hoga
kabhi shikwa nahi karna
haqiqat hae milan apna
isse sapna nahi karna
suno aisa nahi karna
-----------------------------------------------
sub say chupa k dard jo wo muskura diya
uski hansi nay to aaj mujhko rula diya
lehjay say uth rahi thi har ik dard ki dastaan
chehra bata raha tha k sub kuch ganwa diya
awaz main tehrao tha aankhon main nami thi
aur keh raha tha k maine sub kuch bhula diya
jane kiya usko logoon say theen shikayatain
tanhaioon k dais main khud ko basa dia
khud bhi wo hum say bichar kar adhora sa reh gaya
hum ko itnay logoon main tanha bana diya
-----------------------------------------------
kabhi nazrain milanay main zamanay beet jatay hain
kabhi nazrain churanay main zamanay beet jatay hain
kisi nay aankh bhi kholi to sonay ki nagri main
kisi ko ghar bananay main zamanay beet jatay hain
kabhi kali siah ratain hamain ik pal ki lagti hain
kabhi ik pal bitanay main zamanay beet jatay hain
kabhi khula jo darwaza to samnay khari thi manzil
kabhi manzil ko panay main zamanay beet jatay hain
ik pal main toot jatay hain wo rishtay
jin k bananay main zamanay beet jatay hain
-----------------------------------------------
tum roth jao mujh say
aisa kabhi na karna
main ik nazar to tarsoon
aisa kabhi na karna
haroon so so sawal kar k
tum kuch jawab na do
aisa kabhi na karna
mujh say he mil k hansna
mujh say he mil k rona
mujh say bichar k g lo
aisa kabhi na karna
tum chand ban k rehna
main daikhta rahonga
kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na karna
tum chalay jao bhi to
dikhoon tumhara rasta
tum laut k na aao
aisa kabhi na karna
-----------------------------------------------
mila wo bhi nahi kartay
mila hum bhi nahi kartay
wafa wo bhi nahi kartay
dagha hum bhi nahi kartay
unhain ruswai ka dukh hae
humain tanhai ka dukh hae
gila wo bhi nahi kartay
gila hum bhi nahi kartay
gali k kisi morh per
takrao ho he jata hae
ruka wo bhi nahi kartay
ruka hum bhi nahi kartay
jab bhi daikhtay hain
sochtay hain kuch kahain un say
suna wo bhi nahi kartay
kaha hum bhi nahi kartay
-----------------------------------------------
adat he bana li hae is sehr k logoon nay
andaz badal laina awaz badal laina
dunya ki mohabat k aghraz badal laina
mosam jo naya aae raftar badal laina
aghyar wohi rakhna ahbab badal laina
rastay main agar milna nazroon ko jhoka laina
awaz agar do to katra k guzar jana
her ik say juda rehna her ik say khafa rehna
jatay huay rahi ko manzil ka pata day kar
rastay main rula daina
adat he bana li hae is sehr k logoon nay...
-----------------------------------------------
moom ki tarha pighaltay huay daikha usko
rut jo badli to badaltay huay daikha usko
wo jo kantoon ko bhi narmi say chua karta tha
hum nay pholoon ko masaltay huay daikha usko
janay kis gham ko chupanay ki tamanna hae usay
aaj her baat pay hanstay huay daikha usko
wo maangnay jata hae duaoon main kisay
hath uthtay he sisaktay huay daikha usko
phir duaoon k liye hath uthae hum nay
jab muqadar say ulajhtay huay daikha usko
-----------------------------------------------
jo khayal thay qayas thay wohi log mujhsay bichar gae
jo mohabatoon ki asas thay wohi log mujhsay bichar gae
jinhain manta nahi ye dil wohi log hain mairay humsafar
mujhe her tarhaan say jo raas thay wohi log mujhsay bichar gae
mujhe lamha bhar ki rafaqatoon k sarab aur satain gay
meri umr bhar ki jo pyas thay wohi log mujhsay bichar gae
jinhain kar saka na qobool main wohi log sharreq-e-safar huay
jo meri talab meri aas thay wohi log mujhsay bichar gae
meri dharkanoon k qareeb thay meri chah thay mera khab thay
wo jo roz-o-shab mere pas thay wohi log mujhsay........
-----------------------------------------------
tumhara khat mila
wo jis main tum nay pocha hae
k ab halat kaisay hain?
mere din raat kaisay hain?
mehrbani tumhari hae
k tum nay is tarha mujh se
mere halat pochay hain
mere din raat pochay hain
tumhain sub kuch bata doonga
mujhe itna batado k..
kabhi sagar kinaray
kisi machli ko daikha hae?
k jis ko lehrain pani ki
kinaray tak to lati hain
magar phir chorh jati hain
mere halat aisay hain
mere din raat aisay hain
karoon na yaad magar kis tarha bulaoon usay
ReplyDeleteghazal bhana karoon aur gungunaoon usay
wo khar khar hae shakh-e-gulab ki manind
main zakm zakm hoon phir bhi galay lagaoon usay
ye log tazkaray kartay hain apnay logoon k
main kaisay baat karoon aur kahan say laoon usay
jo humsafar sir-e-manzil bichar raha hae Faraz
ajab nahi k agar yaad bhi na aaon usay
karoon na yaad magar kis tarha.......
-----------------------------------------------
mere khaboon k sub naqsh mita day koi
sokahay patoon k ye dhair jala day koi
meri pehchan k ik shakhs hae is sehr main
main bhi zinda hoon zara usko pata day koi
-----------------------------------------------
do qadam to sub chal laitay hain magar
zindagi bhar k sath koi nahi nibhata
agar roo kar bhulai jati yadain
to hans kar koi gham na chupata
-----------------------------------------------
aaj rotha huwa ik dost bohat yaad aaya
acha guzra hua kuch waqt bohat yaad aaya
jo mere dard ko seenay main chupa laita tha
aaj jub dard hua to bohat yaad aaya
-----------------------------------------------
ussay apnay farda ki fikr thi
wo jo mera wakif-e-hal tha
wo jo uski subha urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha
mere dard kaisay wo janta
meri baat kaisay wo manta
wo to khud fana k safar main tha
usay rokna bhi muhal tha
kahan jao gay mujhe chorh kar
ye poch poch k main thak gaya
wo jawab mujh ko na day saka
wo to khud sarapa-e-sawal tha
wo mila to mudat k baad bhi
mere lab pay koi gila na tha
ussay meri chup nay rula diya
jisay guftogo main kamal tha
lipat k mujh say wo ro diya
mujhe sirf itna he keh saka
jisay janta tha main zindagi
wo to mera wahm-o-khayal tha
-----------------------------------------------
mohabbat ka ajeeb karobar hum nay kiya
wo bewafa he sahi pyar hum nay kiya
agar wo chorh gaya to mat kaho bura usko
qosoor uska nahi aitbaar hum nay kiya
-----------------------------------------------
bohat he maddat k baad kal jab
kitab-e-mazi ko mainay khola
bohat say chehray nazar main utray
bohat say namoo pay dil pasija
ik aisa safha bhi usmain aaya
likha huwa tha jo ansoon say
k jis ka unwaan "humsafar" tha
ye safha sub say he mutabar tha
kuch aur aanso phir uspay tapkay
phir us say agay main parh na paya
kitab-e-mazi ko band kar k
ushi ki yadoon main kho gaya main
agar wo milta to kaisa hota
inhe khayaloon main so gaya main
-----------------------------------------------
kaheen milay to ussay kehna
dewar-e-nafrat gira raha honn
guzray dinoon ko bhula raha hoon
wo apnay waday say phir gaya hae
main apnay waday nibha raha hoon
kaheen milay to ussay kehna
hamesha apna khayal rakhna
apnay saray gham mujh ko day day
aur tamam khushian sambhal rakhna
kaheen milay to ussay kehna
main tahna sawan bita chuka hoon
main saray armaan jala chuka hoon
jo sholay bharkay thay khahishoon k
aansoon say apnay bhuja chuka hoon
-----------------------------------------------
wo mujh ko likhta tha jan meri
judaiyun ki udas rut main
khafa na hona
main laut aaya to
qurbatoon k haseen mausam se
dil ka angan sawar doonga
bahar is main utar doonga
main lay k aaonga sath apnay
mohabatoon k gulab mausam
wafa main dobay semab lamhay
tumhari khatir...
magar...
magar wo aaya!
to uzar laya
jawaz laya
wazahatoon ka mahaz laya
main jin dukhoon ki tha intaha per
wo phir say un ka aghaz laya...!!
-----------------------------------------------
usay hum yaad atay hain fursat k lamhoon main
magar ye baat bhi sach hae usay fursat nahi milti...
-----------------------------------------------
mera us shehr-e-adawat main basera hae jahan
log sajdoon main bhi logoon ka bura sochtay hain
-----------------------------------------------
dosti apni bhi asar rakhti hae Faraz
bohat yaad aingay zara bhool kar to daikho
-----------------------------------------------
Mujhey Fursat Hii Fursat Hai
Saweray Jaldii Utna Hai
Na Shab Ko Dair Sey Sona
Kahien Bahir Nahi Jana
Kisi Say Bhi Nahi Milna
Na Koii Fiker Lahaq Hai
Na Koii Yaad Hai Baaqi
Magar
Yeh Aakhri Misra
Zara Sa Jhoot Lagta Hai
-----------------------------------------------
yahan mazdoor ko marnay ki jaldi yun bhi hae Mohsin
k zindagi ki kashmakash main Kafan mehnga na ho jae
-----------------------------------------------
apnay usool yun bhi kabhi tornay paray
uski khata thi hath mujhe jornay paray
aya na jab qarar dil-a-beqarar ko
yadoon k rukh uski taraf mornay paray
unko to meri yaad b aai na bhool kar
apnay piyaray jin k liye chornay paray
wo shahkhs Faraz bara bay asool tha
apnay usool jis k liye tornay paray
-----------------------------------------------
yun he issay log mohabat samajh baithay hain Faraz
wo shahkhs mujhe jan say pyara hae aur bus...!
-----------------------------------------------
ab kiya dhondtay ho jalay huay kaghazon ki rakh main faraz
wo jis ka unwan "tum" thay wo afsana he jal gaya
-----------------------------------------------
muhabatoon ki saza bay misal di us nay
udas rehnay ki adat si dal di us nay
-----------------------------------------------
wo jis k pass rehta tha dostoon ka hujoom
suna hae Faraz kal raat ehsas-e-tanhai se mar gaya
-----------------------------------------------
Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bherh mein zamanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko,
aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein,
baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko,
roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi,
phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k,
khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain,
raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se,
be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se,
eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain,
waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko,
pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain..!!
-----------------------------------------------
Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Keh shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay,
woh nahin rahay
Meray harf harf kay jism per
Jo ma’ani kay par-o-baal thay,
woh nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say
sajay phirtay khayal thay
Woh nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Woh nahin rahay
Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay,
wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha,
kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray kha’b nihaal thay
Woh nahin rahay
Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay,
wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi
-----------------------------------------------
jab wo mujh say chup k roya to ye baat khuli Faraz
kehnay ko hum aik hain lakin, dukh apna apna hae
-----------------------------------------------
wafa ki laaj main us ko mana laite to acha tha
anaa ki jang main aksar judai jeet jati hae
-----------------------------------------------
Bichr gaya hae to us ka sath kia mangon,
zra c umr hae gham se nijat kia mangon,
wo sath hota to hoteen zarooratain bhi bohat,
akaili zat k liye Qainat kia mangoon
-----------------------------------------------
Hum bhi hanste rehte,
hain wo bhi hanste rehte hain,
aur pata he nahi chalta,
gham dilon main palte hain,
aur pata he nahi chalta,
us bin g na paingay,
aksar ye kehte rehte hain,
us bin jeete rehte hain,
aur pata he nahi chalta
-----------------------------------------------
Mujhe fursat he fursat hae,
sawere jaldi uthna hae,
na shab ko dair se sona,
kaheen bahir nahi jana,
kisi se bhi nahi milna,
na koi yaad hae baki,
magar
ye akhri misra,
zara sa jhoot lagta hae
-----------------------------------------------
Zindagi to apne he qadmoon pe chala karti hae Faraz
auron k sahare to janazay utha karte hain
-----------------------------------------------
main bus ik bar lajawab hua Faraz!!
kisi apne nay kaha jab kaun ho tum